Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka, Urdu Ghazal By Jigar Barelvi

Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jigar Barelvi. Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

برائی کیا ہے تم الزام دو برائی کا

جگر بریلوی

برائی کیا ہے تم الزام دو برائی کا

بشر ہوں میں مجھے دعویٰ نہیں خدائی کا

کیا ہے سجدہ کبھی یا نہیں کیا خوش ہوں

جبیں پہ داغ نہیں سجدۂ ریائی کا

کسی کے عشق میں دیوانے ہم نہ گر ہوتے

تو راز کھل نہیں سکتا تھا پارسائی کا

ذرا تم اب کہیں چھپ جاؤ ہر تڑپ لو ہیں

کہ یاد آیا ہے مجھ کو مزا جدائی کا

نہیں ہے میری کسی اور کی ہے یہ بھی حدیث

قصوروار اگر ہوں میں خود ستائی کا

جسے یقیں ہے کہ اس کے نصیب میں تم ہو

گناہ کیوں وہ کرے قسمت آزمائی کا

رواں دواں ہوں مجھے اپنی دھن میں ہوش کہاں

بہانہ لے کے جو بیٹھوں شکستہ پائی کا

اسی کی راہ میں کانٹے بچھائے جاتے ہیں

نصیب عذر جسے ہے برہنہ پائی کا

کسے ہے علم نصیبوں میں مرے آپ نہیں

خیال چھوڑ دوں کیوں قسمت آزمائی کا

جو عشق عام ہے میرے لیے ہے ننگ حیات

مدار اور ہے میری غزل سرائی کا

بڑا مزہ تھا تڑپنے میں تلملانے میں

نہ بھولتا ہے نہ بھولے گا دن جدائی کا

چمن ہو اور شب مہتاب و حلقۂ احباب

مزہ جبھی ہے جگرؔ کچھ غزل سرائی کا

جگر بریلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka

Jigar Barelvi

burai kya hai tum ilzam do burai ka
bashar hun main mujhe dawa nahin KHudai ka

kiya hai sajda kabhi ya nahin kiya KHush hun
jabin pe dagh nahin sajda-e-riyai ka

kisi ke ishq mein diwane hum na gar hote
to raaz khul nahin sakta tha parsai ka

zara tum ab kahin chhup jao har taDap lau hain
ki yaad aaya hai mujh ko maza judai ka

nahin hai meri kisi aur ki hai ye bhi hadis
qusur-war agar hun main KHud-satai ka

jise yaqin hai ki us ke nasib mein tum ho
gunah kyun wo kare qismat-azmai ka

rawan-dawan hun mujhe apni dhun mein hosh kahan
bahana le ke jo baiThun shikasta-pai ka

usi ki rah mein kanTe bichhae jate hain
nasib uzr jise hai barahna-pai ka

kise hai ilm nasibon mein mere aap nahin
KHayal chhoD dun kyun qismat-azmai ka

jo ishq aam hai mere liye hai nang-e-hayat
madar aur hai meri ghazal-sarai ka

baDa maza tha taDapne mein tilmilane mein
na bhulta hai na bhulega din judai ka

chaman ho aur shab-e-mahtab-o-halqa-e-ahbab
maza jabhi hai 'jigar' kuchh ghazal-sarai ka

(655) ووٹ وصول ہوئے

You can read Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka written by Jigar Barelvi at UrduPoint. Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka is one of the masterpieces written by Jigar Barelvi. You can also find the complete poetry collection of Jigar Barelvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jigar Barelvi' above.

Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Burai Kya Hai Tum Ilzam Do Burai Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.