Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya, Urdu Ghazal By Junaid Azar

Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Junaid Azar. Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی جلوہ گاہ مجاز میں کہیں رہ گیا

جنید آزر

کسی جلوہ گاہ مجاز میں کہیں رہ گیا

میں ترے بدن کی نماز میں کہیں رہ گیا

کئی اور فرض بھی تھے جبین نحیف پر

مرا ذوق عجز و نیاز میں کہیں رہ گیا

جہاں منزلوں کی لپک تھی چشم فریب میں

میں انہی نشیب و فراز میں کہیں رہ گیا

مرے حرف گریہ کناں میں ایسی گرہ پڑی

مرا نغمہ سوز حجاز میں کہیں رہ گیا

پڑی ایسی ضرب گمان رخت یقین پر

کہ میں راہ دور دراز میں کہیں رہ گیا

مجھے نیند آئے گی خواب گاہ جہاں میں کیا

مرا دل تو محفل ناز میں کہیں رہ گیا

کسی لب پہ گوشہ نشیں تھا حرف سحر مرا

جو نوائے شب کے گداز میں کہیں رہ گیا

مجھے اپنی کوئی خبر نہ تھی ترے دھیان میں

مرا عشق خوئے ایاز میں کہیں رہ گیا

میں مگن تھا ایسا جہان غم کے طواف میں

مرا سب جنوں تگ و تاز میں کہیں رہ گیا

وہ جو ایک وعدۂ شوق تھا تری دید کا

کسی چشم حیلہ طراز میں کہیں رہ گیا

مرے بھید افشا ہوئے نہ عجلت وقت سے

میں نوائے کن ہی کے راز میں کہیں رہ گیا

جنید آزر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya

Junaid Azar

kisi jalwa-gah-e-majaz mein kahin rah gaya
main tere badan ki namaz mein kahin rah gaya

kai aur farz bhi the jabin-e-nahif par
mera zauq ijz-o-niyaz mein kahin rah gaya

jahan manzilon ki lapak thi chashm-e-fareb mein
main unhi nasheb-o-faraaz mein kahin rah gaya

mere harf-e-girya-kunan mein aisi girah paDi
mera naghma soz-e-hijaz mein kahin rah gaya

paDi aisi zarb-e-guman raKHt-e-yaqin par
ki main rah-e-dur-daraaz mein kahin rah gaya

mujhe nind aaegi KHwab-gah-e-jahan mein kya
mera dil to mahfil-e-naz mein kahin rah gaya

kisi lab pe gosha-nashin tha harf-e-sahar mera
jo nawa-e-shab ke gudaz mein kahin rah gaya

mujhe apni koi KHabar na thi tere dhyan mein
mera ishq KHu-e-ayaz mein kahin rah gaya

main magan tha aisa jahan-e-gham ke tawaf mein
mera sab junun tag-o-taz mein kahin rah gaya

wo jo ek wada-e-shauq tha teri did ka
kisi chashm-e-hila-taraaz mein kahin rah gaya

mere bhed ifsha hue na ujlat-e-waqt se
main nawa-e-kun hi ke raaz mein kahin rah gaya

(548) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya written by Junaid Azar at UrduPoint. Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya is one of the masterpieces written by Junaid Azar. You can also find the complete poetry collection of Junaid Azar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Junaid Azar' above.

Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Jalwa-gah-e-majaz Mein Kahin Rah Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.