BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بیٹھے تو پاس ہیں پر آنکھ اٹھا سکتے نہیں

جرأت قلندر بخش

بیٹھے تو پاس ہیں پر آنکھ اٹھا سکتے نہیں

جی لگا ہے پہ ابھی ہاتھ لگا سکتے نہیں

دور سے دیکھ وہ لب کاٹتے ہیں اپنے ہونٹھ

ہے ابھی پاس ادب ہونٹھ ہلا سکتے نہیں

تکتے ہیں اس قد و رخسار کو حسرت سے اور آہ

بھینچ کر خوب سا چھاتی سے لگا سکتے نہیں

دل تو ان پاؤں پہ لوٹے ہے مرا وقت خرام

شب کو دزدی سے بھی پر ان کو دبا سکتے نہیں

چور سے رات کھڑے رہتے ہیں اس در سے لگے

پر جو مطلوب ہے وہ جنس چرا سکتے نہیں

ریجھتے ان کی اداؤں پہ ہیں کیا کیا لیکن

مارے اندیشے کے گردن بھی ہلا سکتے نہیں

دیکھ رہتے ہیں وہ آئینۂ زانو اس کا

پر کسی شکل سے زانو کو بھڑا سکتے نہیں

قاعدے کیا ہمیں معلوم نہیں الفت کے

بے کم و کاست مگر ان کو پڑھا سکتے نہیں

چپکے تک رہتے ہیں رنگ اس کا بھبوکا سا ہم

آہ پر دل کی لگی اپنی بجھا سکتے نہیں

کیا غضب ہے کہ وہی بولے تو بولے از خود

ہم انہیں کیوں کہ بلاویں کہ بلا سکتے نہیں

گرچہ ہم خانہ ہیں جرأتؔ پہ ہمارے ایسے

بخت سوئے کہ کہیں ساتھ سلا سکتے نہیں

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin

Jurat Qalandar Bakhsh

baiThe to pas hain par aankh uTha sakte nahin
ji laga hai pa abhi hath laga sakte nahin

dur se dekh wo lab kaTte hain apne honTh
hai abhi pas-e-adab honTh hila sakte nahin

takte hain us qad o ruKHsar ko hasrat se aur aah
bhench kar KHub sa chhati se laga sakte nahin

dil to in panw pe loTe hai mera waqt-e-KHiram
shab ko duzdi se bhi par un ko daba sakte nahin

chor se raat khaDe rahte hain is dar se lage
par jo matlub hai wo jins chura sakte nahin

rijhte un ki adaon pe hain kya kya lekin
mare andeshe ke gardan bhi hila sakte nahin

dekh rahte hain wo aaina-e-zanu us ka
par kisi shakl se zanu ko bhiDa sakte nahin

qaede kya hamein malum nahin ulfat ke
be-kam-o-kast magar un ko paDha sakte nahin

chipke tak rahte hain rang us ka bhabuka sa hum
aah par dil ki lagi apni bujha sakte nahin

kya ghazab hai ki wahi bole to bole az-KHud
hum unhen kyun ki bulawen ki bula sakte nahin

garche ham-KHana hain 'jurat' pa hamare aise
baKHt soe ki kahin sath sula sakte nahin

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.