Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کس جا نہ بے قراری سے میں خستہ تن گیا

جرأت قلندر بخش

کس جا نہ بے قراری سے میں خستہ تن گیا

پر دیکھنے کا اس کے کہیں ڈھب نہ بن گیا

کس کس طرح کی کی خفگی دل نے مجھ سے آہ

روٹھا کسی کا یار کسی سے جو من گیا

یارو جہاں میں اب کہیں دیکھی وفا کی چال

جانے دو یہ نہ ذکر کرو وہ چلن گیا

سوسن زباں نکالے جو نکلی تو زیر خاک

کیا جانیے کہ کون یہ تشنہ دہن گیا

اے عشق سچ تو یہ ہے کہ شیریں نے کچھ نہ کی

حسرت کا کوہ دل پہ لیے کوہ کن گیا

بس ناصحا یہ تیر ملامت کہاں تلک

باتوں سے تیری آہ کلیجا تو چھن گیا

کل اس صنم کے کوچے سے نکلا جو شیخ وقت

کہتے تھے سب ادھر سے عجب برہمن گیا

پیدا یہ ہجر یار میں وحشت ہوئی کہ آہ

اس دل کا وصل میں بھی نہ دیوانہ پن گیا

حیراں ہے تجھ کو دیکھ کے جرأتؔ مری تو عقل

دو چار دن میں کیا یہ ترا حال بن گیا

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya

Jurat Qalandar Bakhsh

kis ja na be-qarari se main KHasta-tan gaya
par dekhne ka us ke kahin Dhab na ban gaya

kis kis tarah ki ki KHafagi dil ne mujh se aah
ruTha kisi ka yar kisi se jo man gaya

yaro jahan mein ab kahin dekhi wafa ki chaal
jaane do ye na zikr karo wo chalan gaya

sausan zaban nikale jo nikli to zer-e-KHak
kya jaaniye ki kaun ye tishna-dahan gaya

ai ishq sach to ye hai ki shirin ne kuchh na ki
hasrat ka koh dil pe liye kohkan gaya

bas naseha ye tir-e-malamat kahan talak
baaton se teri aah kaleja to chhan gaya

kal us sanam ke kuche se nikla jo shaiKH-e-waqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya

paida ye hijr-e-yar mein wahshat hui ki aah
is dil ka wasl mein bhi na diwana-pan gaya

hairan hai tujh ko dekh ke 'jurat' meri to aql
do chaar din mein kya ye tera haal ban gaya

(405) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kis Ja Na Be-qarari Se Main KHasta-tan Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.