Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سنو بات اس کی الفت کا بڑھانا اس کو کہتے ہیں

جرأت قلندر بخش

سنو بات اس کی الفت کا بڑھانا اس کو کہتے ہیں

کہا شب خواب میں آ کر کہ آنا اس کو کہتے ہیں

قدم وادیٔ وحشت ناک الفت میں رکھا ہم نے

ہزار آفات کا سر پر اٹھانا اس کو کہتے ہیں

ہماری بات کاٹی غیر کی تائید کی اس نے

گھٹانا اس کو کہتے ہیں بڑھانا اس کو کہتے ہیں

جو روٹھے ہم تو بولے بے دلی سے تم کہ آ مل جا

ادھر کو دیکھیو کیوں جی منانا اس کو کہتے ہیں

دل مضطر کے باعث روز و شب رہتے ہیں بس لرزاں

در و دیوار خانہ تلملانا اس کو کہتے ہیں

وہ دشمن اپنا سمجھے ہے بہ دل میں دوست ہوں جس کا

کہوں کیا اور پر الٹا زمانہ اس کو کہتے ہیں

یہ بولے دیکھ سب تصویر اس کی اور مری یکجا

پری رو اس کو کہتے ہیں دوانہ اس کو کہتے ہیں

کیا ہے شیفتہ عالم کو اپنا اس پری رو نے

دوانہ اک جہاں کو کر دکھانا اس کو کہتے ہیں

یہ چشم گوہر افشاں حضرت دل جلوہ فرما ہیں

نکل گھر سے در دولت پہ آنا اس کو کہتے ہیں

جو گلشن میں کسی نے دیکھ کھلنا غنچۂ گل کا

کہا بس آ کے یاں لذت اٹھانا اس کو کہتے ہیں

تبسم کر کے یوں مجھ سے کہا اس شوخ نے او بے

ادھر کو دیکھ ادا سے مسکرانا اس کو کہتے ہیں

غزل اور اس زمیں میں پڑھیے وہ جرأتؔ کہ سن جس کو

کہیں عاشق کلام عاشقانہ اس کو کہتے ہیں

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain

Jurat Qalandar Bakhsh

suno baat us ki ulfat ka baDhana is ko kahte hain
kaha shab KHwab mein aa kar ki aana is ko kahte hain

qadam wadi-e-wahshat-nak-e-ulfat mein rakha hum ne
hazar aafat ka sar par uThana is ko kahte hain

hamari baat kaTi ghair ki taid ki us ne
ghaTana is ko kahte hain baDhana is ko kahte hain

jo ruThe hum to bole be-dili se tum ki aa mil ja
idhar ko dekhiyo kyun ji manana is ko kahte hain

dil-e-muztar ke bais roz-o-shab rahte hain bas larzan
dar-o-diwar-e-KHana tilmilana is ko kahte hain

wo dushman apna samjhe hai ba-dil main dost hun jis ka
kahun kya aur par ulTa zamana is ko kahte hain

ye bole dekh sab taswir us ki aur meri yakja
pari-ru is ko kahte hain diwana is ko kahte hain

kiya hai shefta aalam ko apna us pari-ru ne
diwana ek jahan ko kar dikhana is ko kahte hain

ye chashm-e-gauhar-afshan hazrat-e-dil jalwa-farma hain
nikal ghar se dar-e-daulat pe aana is ko kahte hain

jo gulshan mein kisi ne dekh khilna ghuncha-e-gul ka
kaha bas aa ke yan lazzat uThana is ko kahte hain

tabassum kar ke yun mujh se kaha us shoKH ne o-be
idhar ko dekh ada se muskurana is ko kahte hain

ghazal aur is zamin mein paDhiye wo 'jurat' ki sun jis ko
kahen aashiq kalam-e-ashiqana is ko kahte hain

(440) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.