Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شب وصل دیکھی جو خواب میں تو سحر کو سینہ فگار تھا

جرأت قلندر بخش

شب وصل دیکھی جو خواب میں تو سحر کو سینہ فگار تھا

یہی بس خیال تھا دم بہ دم کہ ابھی تو پاس وہ یار تھا

جو نہ تھا وہ غیرت گلستاں تو کروں اب اس کا میں کیا بیاں

کہ الم جدائی کا ہر زماں مرے ایک دل پہ ہزار تھا

شب ہجر کے کہیں کیا الم نظر آئے صبح کو بہتے یم

کہ بہ جوش بارش ابر غم پہ بندھا سرشک کا تار تھا

تپ غم سے تھا جو جلا بلا مرے سینے میں دل مبتلا

سو دھواں ہو یوں وہ ہوا ہوا کہ نہ شعلہ تھا نہ شرار تھا

کبھی دست زلف سے تھے بہم کبھی رخ کے لیتے تھے بوسے ہم

شب و روز اب تو ہے درد و غم کبھی ووں بھی لیل و نہار تھا

جسے یاد اپنی لگائیے اسے صاف دل سے بھلائیے

ٹک ادھر تو آنکھ ملائیے یہی ہم سے قول و قرار تھا

شب ہجر اب یہ ستائے ہے کہ خزان مرگ دکھائے ہے

وہ رخ اب کہاں نظر آئے ہے کہ جو رشک صبح بہار تھا

مجھے شب جو نشۂ غم چڑھا تو پھرا کیا میں کھڑا کھڑا

رہا غش میں صبح کو جو پڑا اسی کیف کا یہ اتار تھا

ہوئی حیرت اب جو دو چند یاں کروں اور وجہ میں کیا بیاں

رخ یار صبح کو مہر ساں مگر آئنے سے دو چار تھا

مجھے ایک عاشق خستہ کی کہیں کل جو قبر نظر پڑی

نہ کسی سے کوئی لگائے جی یہ کھدا بہ لوح مزار تھا

دم قتل کوئی جو بول اٹھا تو خجل ہو کیا وہ خفا ہوا

اسے تم نے ذبح عبث کیا یہ تمہارا شکر گزار تھا

کوئی ناؤ بحر میں تھی رواں کئی اس میں بیٹھے تھے مہو شاں

کہیں اس گروہ کے درمیاں در ناز بھی وہ سوار تھا

تو بہ موج پرتو ماہ سا کہو اضطراب میں دل کا کیا

کبھی پار تھا کبھی وار تھا کبھی وار تھا کبھی پار تھا

غزل اور قافیے کو بدل میں سناؤں یاروں کو بر محل

ہوا مختصر نہ بہ یک غزل کہ بڑا فسانۂ یار تھا

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha

Jurat Qalandar Bakhsh

shab-e-wasl dekhi jo KHwab mein to sahar ko sina figar tha
yahi bas KHayal tha dam-ba-dam ki abhi to pas wo yar tha

jo na tha wo ghairat-e-gulsitan to karun ab us ka main kya bayan
ki alam judai ka har zaman mere ek dil pe hazar tha

shab-e-hijr ke kahen kya alam nazar aae subh ko bahte yam
ki ba-josh-e-barish-e-abr-e-gham pe bandha sarishk ka tar tha

tap-e-gham se tha jo jala-bala mere sine mein dil-e-mubtala
so dhuan ho yun wo hawa hua ki na shoala tha na sharar tha

kabhi dast-e-zulf se the baham kabhi ruKH ke lete the bose hum
shab-o-roz ab to hai dard-o-gham kabhi wun bhi lail-o-nahaar tha

jise yaad apni lagaiye use saf dil se bhulaiye
Tuk idhar to aankh milaiye yahi hum se qaul-o-qarar tha

shab-e-hijr ab ye satae hai ki KHizan-e-marg dikhae hai
wo ruKH ab kahan nazar aae hai ki jo rashk-e-subh-e-bahaar tha

mujhe shab jo nashsha-e-gham chaDha to phira kiya main khaDa khaDa
raha ghash mein subh ko jo paDa usi kaif ka ye utar tha

hui hairat ab jo do-chand yan karun aur wajh main kya bayan
ruKH-e-yar subh ko mahr-san magar aaine se do-chaar tha

mujhe ek aashiq-e-KHasta ki kahin kal jo qabr nazar paDi
na kisi se koi lagae ji ye khuda ba-lauh-e-mazar tha

dam-e-qatl koi jo bol uTha to KHajil ho kya wo KHafa hua
use tum ne zabh abas kiya ye tumhaara shukr-guzar tha

koi naw bahr mein thi rawan kai us mein baiThe the mah-wishan
kahin us giroh ke darmiyan dur-e-naz bhi wo sawar tha

tu ba-mauj-e-partaw-e-mah sa kaho iztirab mein dil ka kya
kabhi par tha kabhi war tha kabhi war tha kabhi par tha

ghazal aur qafiye ko badal main sunaun yaron ko bar-mahal
hua muKHtasar na ba-yak ghazal ki baDa fasana-e-yar tha

(443) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.