Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصور باندھتے ہیں اس کا جب وحشت کے مارے ہم

جرأت قلندر بخش

تصور باندھتے ہیں اس کا جب وحشت کے مارے ہم

تو پھر کرتے ہیں آپ ہی آپ کیا کیا کچھ اشارے ہم

کہے ہے یوں دل مضطر سے اس بن جان غم دیدہ

چلو تم رفتہ رفتہ آتے ہیں پیچھے تمہارے ہم

کئی بار اس نے دیکھا آج چشم قہر سے ہم کو

سزا وار عقوبت تو ہوئے اے بخت بارے ہم

نہ مانی دل نے اپنی اور نہ ہم نے بات ناصح کی

ہمیں کہہ کہہ کے ہارا وہ اسے کہہ کے ہارے ہم

وہ جب آئینہ دیکھے ہے تو کیا کیا مسکراتا ہے

سمجھ کر یہ کہ یعنی ہیں قیامت پیارے پیارے ہم

ملا لطف سخن کیا خاک ہم کو اس کی محفل میں

کہ چپ بیٹھے رہے جوں نقش دیوار اک کنارے ہم

ہوئے ہیں چاہنے والے تمہارے سیکڑوں پیدا

یہ سچ ہے جی کہ کس گنتی میں ہیں یاں اب بچارے ہم

کسی مہوش کے غم نے کر دیا نا طاقت ایسا ہی

کہ چھٹتے دیکھتے ہیں اکثر آنکھوں آگے تارے ہم

اٹھا کر آنکھ تو تم دیکھ لو یاں کوئی دیکھے ہے

ذرا قربان ہونے دو ہمیں صدقے تمہارے ہم

کریں کیا آہ اور کس سے کہیں ہم اپنی بے چینی

کہیں چین اب ترے ہاتھوں نہیں پاتے ہیں پیارے ہم

قرار اک جا نظر آتا نہیں ہے بے قراری میں

گل بازی کی صورت پھرتے ہیں بس مارے مارے ہم

ہمیں کیا خطرۂ جاں ہے کہ ہم ہیں نام کو جرأتؔ

نہ ہوں پھر کیوں کہ میدان محبت میں اتارے ہم

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum

Jurat Qalandar Bakhsh

tasawwur bandhte hain us ka jab wahshat ke mare hum
to phir karte hain aap hi aap kya kya kuchh ishaare hum

kahe hai yun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida
chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare hum

kai bar us ne dekha aaj chashm-e-qahr se hum ko
saza-war-e-uqubat to hue ai baKHt bare hum

na mani dil ne apni aur na hum ne baat naseh ki
hamein kah kah ke haara wo use kah ke haare hum

wo jab aaina dekhe hai to kya kya muskuraata hai
samajh kar ye ki yani hain qayamat pyare pyare hum

mila lutf-e-suKHan kya KHak hum ko us ki mahfil mein
ki chup baiThe rahe jun naqsh-e-diwar ek kinare hum

hue hain chahne wale tumhaare saikDon paida
ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yan ab bichaare hum

kisi mahwash ke gham ne kar diya na-taqat aisa hi
ki chhuTte dekhte hain akasr aankhon aage tare hum

uTha kar aankh to tum dekh lo yan koi dekhe hai
zara qurban hone do hamein sadqe tumhaare hum

karen kya aah aur kis se kahen hum apni bechaini
kahin chain ab tere hathon nahin pate hain pyare hum

qarar ek ja nazar aata nahin hai be-qarari mein
gul-e-bazi ki surat phirte hain bas mare mare hum

hamein kya KHatra-e-jaan hai ki hum hain nam ko 'jurat'
na hon phir kyun ki maidan-e-mohabbat mein utare hum

(462) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasawwur Bandhte Hain Us Ka Jab Wahshat Ke Mare Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.