Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se, Urdu Nazam By Kahkashan Tabassum

Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Kahkashan Tabassum. Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ درد اب کے سوا ہے حد سے

کہکشاں تبسم

وہ درد بھی تھا سوا حدوں سے

تمہاری آمد کا جس میں مژدہ چھپا ہوا تھا

وہ درد رگ رگ کی چیخ بن کر صدا ہوا تھا

تو آنکھ خوشیوں سے نم ہوئی تھی

زباں سے شکر خدا تھا نکلا

زمیں کا ٹکڑا جو زیر پا تھا

ہوا تھا جنت

کہ اپنی تکمیل پر ہوئی تھی میں سر بہ سجدہ

مگر مری جاں

وہ خواب موسم گزر چکا ہے

ہزار راتوں کے رتجگوں کا حساب کیسا

جسے کہ اپنے لہو سے سینچا

شجر بنایا

وہ میرا کب تھا

عذاب کیسے اتر رہے ہیں

یا خواب آنکھوں میں مر رہے ہیں

رفاقتوں میں یہ ہجرتوں کی مہک گھلی کیوں

مسافتوں میں تھکن سی کیوں جسم و جاں میں اتری

کوئی بتائے

کہ گود بھرنے کے بعد خالی یہ ہاتھ کیوں ہیں

یہ کیسا چہرہ ہے زندگی کا

لبوں پہ حرف دعا ہے ساکت

میں پھر سے اک بار درد لہروں کی زد پہ ٹھہری یہ سوچتی ہوں

کہ جس کو بننے میں عمر کاٹی

وہ خواب موسم گزر چکے ہیں

غبار آنکھوں میں بھر چکے ہیں

نوید دیتا ہو کوئی لمحہ

کوئی پکارے کہ میں یہیں ہوں

پلٹ کے آئیں وہ پاؤں جس کے لئے زمیں ہوں

نہیں ہے کوئی صدا نہیں ہے

مگر مری جاں یہ درد اب کے سوا ہے حد سے

کہکشاں تبسم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se

Kahkashan Tabassum

wo dard bhi tha siwa hadon se
tumhaari aamad ka jis mein muzhda chhupa hua tha
wo dard rag rag ki chiKH ban kar sada hua tha
to aankh KHushiyon se nam hui thi
zaban se shukr-e-KHuda tha nikla
zamin ka TukDa jo zer-e-pa tha
hua tha jannat
ki apni takmil par hui thi main sar-ba-sajda
magar meri jaan
wo KHwab mausam guzar chuka hai
hazar raaton ke ratjagon ka hisab kaisa
jise ki apne lahu se sincha
shajar banaya
wo mera kab tha
azab kaise utar rahe hain
ya KHwab aankhon mein mar rahe hain
rafaqaton mein ye hijraton ki mahak ghuli kyun
masafaton mein thakan si kyun jism-o-jaan mein utri
koi batae
ki god bharne ke baad KHali ye hath kyun hain
ye kaisa chehra hai zindagi ka
labon pe harf-e-dua hai sakit
main phir se ek bar dard lahron ki zad pe Thahri ye sochti hun
ki jis ko banne mein umr kaTi
wo KHwab-e-mausam guzar chuke hain
ghubar aankhon mein bhar chuke hain
nawed deta ho koi lamha
koi pukare ki main yahin hun
palaT ke aaen wo panw jis ke liye zamin hun
nahin hai koi sada nahin hai
magar meri jaan ye dard ab ke siwa hai had se

(575) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se written by Kahkashan Tabassum at UrduPoint. Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se is one of the masterpieces written by Kahkashan Tabassum. You can also find the complete poetry collection of Kahkashan Tabassum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kahkashan Tabassum' above.

Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se is a widely read Urdu Nazam. If you like Ye Dard Ab Ke Siwa Hai Had Se, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.