Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib, Urdu Ghazal By Kamal Hyderabadi

Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kamal Hyderabadi. Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جرم کیا ہے جو رہیں آپ کے ہم دل کے قریب

کمال حیدرآبادی

جرم کیا ہے جو رہیں آپ کے ہم دل کے قریب

کیا نہیں رہتے ستارے مہ کامل کے قریب

جا کے کہتی ہے جفا پنجۂ قاتل کے قریب

اور کچھ دیر ٹھہر جائیے بسمل کے قریب

کیا سبب ہے کہ اٹھا شور گلستاں میں ندیم

فصل گل آئی کہ وہ آئے عنادل کے قریب

زندگی کرتے ہیں جو سینۂ دریا پہ بسر

لطف کیا خاک ملے گا انہیں ساحل کے قریب

ہم وہ پروردۂ طوفاں ہیں پس مرگ جنہیں

دفن ہونا بھی گوارا نہیں ساحل کے قریب

آ ہی جائیں گے نظر چشم بصیرت ہو اگر

وہ یہیں ہوں گے یہیں ہوں گے کہیں دل کے قریب

تم قریب اتنے مرے آؤ کہ مٹ جائے دوئی

فاصلہ یہ بھی بہت ہے کہ رہیں دل کے قریب

دل ترا گر نہ بنے آئنہ میرا ذمہ

رہ کے تو دیکھ تو لے جوہر قابل کے قریب

بے کسی روتی ہے اس آبلہ پا رہرو پر

تھک کے جو بیٹھ گیا راہ میں منزل کے قریب

عکس کو ان کے بسا لیتا میں آنکھوں میں کمالؔ

کاش وہ آتے کبھی دیدۂ بسمل کے قریب

کمال حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib

Kamal Hyderabadi

jurm kya hai jo rahen aap ke hum dil ke qarib
kya nahin rahte sitare mah-e-kaamil ke qarib

ja ke kahti hai jafa panja-e-qatil ke qarib
aur kuchh der Thahar jaiye bismil ke qarib

kya sabab hai ki uTha shor gulistan mein nadim
fasl-e-gul aai ki wo aae anadil ke qarib

zindagi karte hain jo sina-e-dariya pe basar
lutf kya KHak milega unhen sahil ke qarib

hum wo parwarda-e-tufan hain pas-e-marg jinhen
dafn hona bhi gawara nahin sahil ke qarib

aa hi jaenge nazar chashm-e-basirat ho agar
wo yahin honge yahin honge kahin dil ke qarib

tum qarib itne mere aao ki miT jae dui
fasla ye bhi bahut hai ki rahen dil ke qarib

dil tera gar na bane aaina mera zimma
rah ke tu dekh to le jauhar-e-qabil ke qarib

be-kasi roti hai us aabla-pa rahraw par
thak ke jo baiTh gaya rah mein manzil ke qarib

aks ko un ke basa leta main aankhon mein 'kamal'
kash wo aate kabhi dida-e-bismil ke qarib

(390) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib written by Kamal Hyderabadi at UrduPoint. Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib is one of the masterpieces written by Kamal Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Kamal Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kamal Hyderabadi' above.

Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jurm Kya Hai Jo Rahen Aap Ke Hum Dil Ke Qarib, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.