BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke, Urdu Ghazal By Kamal Lakhnavi

BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kamal Lakhnavi. BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بیٹھے ہیں گلستان میں ہمت کو ہار کے

کمال لکھنؤی

بیٹھے ہیں گلستان میں ہمت کو ہار کے

ان سے سلجھ سکیں گے نہ گیسو بہار کے

وارفتگئ شوق کا عالم تو دیکھیے

بیٹھا ہوا ہوں بزم تمنا سنوار کے

رگ رگ میں موجزن ہے مری کیف اضطراب

او یاد آنے والے شب انتظار کے

نیرنگیٔ جنوں کے کرشمے تو دیکھیے

سامان ہو رہے ہیں قفس میں بہار کے

آغوش انقلاب میں پلتی رہی حیات

احسان ہیں یہ گردش لیل و نہار کے

اہل چمن چمن کی فضاؤں سے ہوشیار

پہرے جگہ جگہ پہ ہیں برق و شرار کے

تنظیم حادثات کا نقشہ بدل دیا

نظم جہاں کی زلف پریشاں سنوار کے

غفلت شعار وقت نہ بیدار ہو سکے

خاموش ہو گیا ہے زمانہ پکار کے

بڑھتا ہے غم کی سمت مسرت سے اے کمالؔ

اللہ رے حوصلے دل امیدوار کے

کمال لکھنؤی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke

Kamal Lakhnavi

baiThe hain gulsitan mein himmat ko haar ke
un se sulajh sakenge na gesu bahaar ke

waraftagi-e-shauq ka aalam to dekhiye
baiTha hua hun bazm-e-tamanna sanwar ke

rag rag mein maujzan hai meri kaif-e-iztirab
o yaad aane wale shab-e-intizar ke

nairangi-e-junun ke karishme to dekhiye
saman ho rahe hain qafas mein bahaar ke

aaghosh-e-inqalab mein palti rahi hayat
ehsan hain ye gardish-e-lail-o-nahaar ke

ahl-e-chaman chaman ki fazaon se hoshiyar
pahre jagah jagah pe hain barq-o-sharar ke

tanzim-e-hadsat ka naqsha badal diya
nazm-e-jahan ki zulf-e-pareshan sanwar ke

ghaflat-shiar-e-waqt na bedar ho sake
KHamosh ho gaya hai zamana pukar ke

baDhta hai gham ki samt masarrat se ai 'kamal'
allah re hausle dil-e-ummid-war ke

(808) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke written by Kamal Lakhnavi at UrduPoint. BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke is one of the masterpieces written by Kamal Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Kamal Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kamal Lakhnavi' above.

BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaiThe Hain Gulsitan Mein Himmat Ko Haar Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.