Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai, Urdu Ghazal By Khawer Eijaz

Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khawer Eijaz. Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مقام نور ہو کر رہ گیا ہے

خاور اعجاز

مقام نور ہو کر رہ گیا ہے

وہ ہم سے دور ہو کر رہ گیا ہے

چراغ دل بجھا تو تن بدن میں

دھواں محصور ہو کر رہ گیا ہے

خودی میں بے خودی کو چھو لیا تھا

نشہ کافور ہو کر رہ گیا ہے

ہوا گھیرے ہوئے ہے طاق شب کو

دیا معذور ہو کر رہ گیا ہے

جو تارہ خاک سے ہونا تھا ظاہر

وہی مستور ہو کر رہ گیا ہے

یہ دل حد سے گزرنا چاہتا تھا

مگر مجبور ہو کر رہ گیا ہے

مرا غم تیری تاریخ کرم میں

فقط مذکور ہو کر رہ گیا ہے

انہی ہاتھوں سے بننا اور مٹنا

یہی دستور ہو کر رہ گیا ہے

خاور اعجاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai

Khawer Eijaz

maqam-e-nur ho kar rah gaya hai
wo hum se dur ho kar rah gaya hai

charagh-e-dil bujha to tan-badan mein
dhuan mahsur ho kar rah gaya hai

KHudi mein be-KHudi ko chhu liya tha
nasha kafur ho kar rah gaya hai

hawa ghere hue hai taq-e-shab ko
diya mazur ho kar rah gaya hai

jo tara KHak se hona tha zahir
wahi mastur ho kar rah gaya hai

ye dil had se guzarna chahta tha
magar majbur ho kar rah gaya hai

mera gham teri tariKH-e-karam mein
faqat mazkur ho kar rah gaya hai

unhi hathon se banna aur miTna
yahi dastur ho kar rah gaya hai

(553) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai written by Khawer Eijaz at UrduPoint. Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai is one of the masterpieces written by Khawer Eijaz. You can also find the complete poetry collection of Khawer Eijaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khawer Eijaz' above.

Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.