Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai, Urdu Ghazal By Khurshid Khawar Amrohvi

Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurshid Khawar Amrohvi. Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس نے وہ جال بچھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

خورشید خاور امروہوی

اس نے وہ جال بچھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

سبز باغ ایسے دکھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

ناز وہ ہم نے اٹھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

کام وہ کرکے دکھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

دیکھنے والوں کو پھندے میں پھنسانے کے لئے

ایسے بل زلف نے کھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

میرے ہوتے ہوئے اغیار پہ یہ لطف و کرم

اس نے وہ تیر چلائے ہیں کہ جی جانتا ہے

حسن کی اس کے ہو تعریف کہاں تک مجھ سے

اس نے اوصاف وہ پائے ہیں کہ جی جانتا ہے

یوں تو آنے کو وہ محفل میں کئی بار آئے

آج اس شان سے آئے ہیں کہ جی جانتا ہے

اس سے ملنے کے لئے کیا کیا جتن ہم نے کئے

وہ وہ احسان اٹھائے ہیں کہ جی جانتا ہے

ٹالنے کے لئے اس شوخ نے کیا کیا نہ کیا

راستے اتنے بتائے ہیں کہ جی جانتا ہے

داغ کے رنگ میں خاورؔ نے غزل خوب کہی

وہ وہ اشعار سنائے ہیں کہ جی جانتا ہے

خورشید خاور امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai

Khurshid Khawar Amrohvi

us ne wo jal bichhae hain ki ji jaanta hai
sabz bagh aise dikhae hain ki ji jaanta hai

naz wo hum ne uThae hain ki ji jaanta hai
kaam wo karke dikhae hain ki ji jaanta hai

dekhne walon ko phande mein phansane ke liye
aise bal zulf ne khae hain ki ji jaanta hai

mere hote hue aghyar pe ye lutf-o-karam
us ne wo tir chalae hain ki ji jaanta hai

husn ki us ke ho tarif kahan tak mujh se
us ne ausaf wo pae hain ki ji jaanta hai

yun to aane ko wo mahfil mein kai bar aae
aaj is shan se aae hain ki ji jaanta hai

us se milne ke liye kya kya jatan hum ne kiye
wo wo ehsan uThae hain ki ji jaanta hai

Talne ke liye us shoKH ne kya kya na kiya
raste itne batae hain ki ji jaanta hai

dagh ke rang mein 'KHawar' ne ghazal KHub kahi
wo wo ashaar sunae hain ki ji jaanta hai

(320) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai written by Khurshid Khawar Amrohvi at UrduPoint. Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai is one of the masterpieces written by Khurshid Khawar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Khurshid Khawar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurshid Khawar Amrohvi' above.

Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Usne Wo Jal Bichhae Hain Ki Ji Jaanta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.