Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai, Urdu Ghazal By Khwaja Mohammad Wazir

Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Mohammad Wazir. Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمیشہ دل میں جو اپنے خیال زلف و کاکل ہے

خواجہ محمد وزیر

ہمیشہ دل میں جو اپنے خیال زلف و کاکل ہے

تو سینے میں نفس ہر ایک موج بوئے سنبل ہے

فساں ہے سخت جانی میری تیغ ناز قاتل کو

کہ یاں جتنا ہے رنج نزع اتنا واں تغافل ہے

مجھی کو کچھ تو اپنے کوچے میں آنے نہیں دیتا

وگرنہ اے ستم ایجاد ہر گلشن میں بلبل ہے

تری میناۓ گردن کی صفت کی ہے جو اے ساقی

مری آواز کو کہتے ہیں سب آواز قلقل ہے

وہی دل ہے بھرا ہو نشہ جس میں جام وحدت کا

کہ ہے چھاتی کا پتھر بزم میں شیشہ جو بے مل ہے

مرے جو سوز غم سے جل کے ہو وہ نیک نام آخر

چراغ مردہ کو اکثر یہی کہتے ہیں سب گل ہے

دیا سامان گلشن ہم کو ہجر رشک گلشن نے

پریشانی ہے سنبل نالہ بلبل داغ دل گل ہے

لکھی ہیں وصف یاں تک نرگس مخمور ساقی کی

ہے خامہ گردن مینا صریر خامہ قلقل ہے

بڑھا کر ربط کیونکر کم نہ منہ دکھلائے وہ مہ رو

ہوا جب ماہ کامل دن پہ دن اس کو تنزل ہے

بہاتی ہے کہیں بھی موج نقش بوریا خس کو

نہ دے گا ناتواں کو رنج جو صاحب تحمل ہے

کہا اس گل نے کل سامان‌ گلشن میں بھی رٹتا ہوں

جو عاشق ہے مرا نالوں سے وہ ہم چشم بلبل ہے

خط و رخسار و چشم و زلف دکھلا کر لگا کہنے

یہ ریحاں ہے یہ گل ہے اور یہ نرگس ہے یہ سنبل ہے

خیال زلف جاناں میں جو روؤں تو اگے سنبل

وزیرؔ آنسو مرا ہر ایک گویا تخم سنبل ہے

خواجہ محمد وزیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai

Khwaja Mohammad Wazir

hamesha dil mein jo apne KHayal-e-zulf-o-kakul hai
to sine mein nafas har ek mauj-e-bu-e-sumbul hai

fasan hai saKHt-jaani meri tegh-e-naz-e-qatil ko
ki yan jitna hai ranj-e-naza utna wan taghaful hai

mujhi ko kuchh tu apne kuche mein aane nahin deta
wagarna ai sitam-ijad har gulshan mein bulbul hai

teri mina-e-gardan ki sifat ki hai jo ai saqi
meri aawaz ko kahte hain sab aawaz-e-qulqul hai

wahi dil hai bhara ho nashsha jis mein jam-e-wahdat ka
ki hai chhati ka patthar bazm mein shisha jo be mul hai

mare jo soz-e-gham se jal ke ho wo nek-nam aaKHir
charagh-e-murda ko aksar yahi kahte hain sab gul hai

diya saman-e-gulshan hum ko hijr-e-rashk-e-gulshan ne
pareshani hai sumbul nala bulbul dagh-e-dil gul hai

likhi hain wasf yan tak nargis-e-maKHmur saqi ki
hai KHama gardan-e-mina sarir-e-KHama qulqul hai

baDha kar rabt kyunkar kam na munh dikhlae wo mah-ru
hua jab mah-e-kaamil din pe din us ko tanazzul hai

bahati hai kahin bhi mauj-e-naqsh-e-boriya KHas ko
na dega na-tawan ko ranj jo sahab tahammul hai

kaha us gul ne kul saman-e-gulshan mein bhi raTta hun
jo aashiq hai mera nalon se wo ham-chashm-e-bulbul hai

KHat-o-ruKHsar-o-chashm-o-zulf dikhla kar laga kahne
ye raihan hai ye gul hai aur ye nargis hai ye sumbul hai

KHayal-e-zulf-e-jaanan mein jo roun to uge sumbul
'wazir' aansu mera har ek goya tuKHm-e-sumbul hai

(540) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai written by Khwaja Mohammad Wazir at UrduPoint. Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai is one of the masterpieces written by Khwaja Mohammad Wazir. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Mohammad Wazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Mohammad Wazir' above.

Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamesha Dil Mein Jo Apne KHayal-e-zulf-o-kakul Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.