Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek, Urdu Ghazal By Khwaja Mohammad Wazir

Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Mohammad Wazir. Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek comes under the Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پیش عاشق چشم گریان و لب خنداں ہے ایک

خواجہ محمد وزیر

پیش عاشق چشم گریان و لب خنداں ہے ایک

جل گیا جو نخل اس کو برق اور باراں ہے ایک

دیکھنے دیتا نہیں اس کو حجاب‌ عشق ہائے

ہوں میں وہ محروم جس کو وصل اور ہجراں ہے ایک

ناتوانی سے ترے بیمار کے رخسار پر

سیلیٔ دست ستم اور سایۂ مژگاں ہے ایک

پیرہن میں یوں بدن ہے جس طرح سے تن میں روح

چشم بد دور اب لطافت میں وہ جسم و جاں ہے ایک

ماہ سے تشبیہ پھر تجھ کو نہ کیوں کر دیجئے

چاندنی اور سایہ تیرا اے مہ تاباں ہے ایک

آپ سے بہتر کی آگے خود نمائی ہے زبوں

روبروۓ مہر ماہ و ابر بے باراں ہے ایک

چاہئے ہنس کر چھڑکنا اے لب جاناں نمک

آتش غم سے کباب اور یہ دل سوزاں ہے ایک

عاشقوں کے آگے مشرک اے بت یکتا ہوں میں

گر کہوں میں حسن میں تو اور مہ کنعاں ہے ایک

سیکڑوں طوطی‌ زباں ہیں یاں اسیر دام غم

خانۂ صیاد اور یہ گنبد گرداں ہے ایک

ایک ہی یہ نور ہے دل میں ہر اک کے جلوہ گر

شیشے ہیں لاکھوں پری سب میں ولے پنہاں ہے ایک

خواجہ محمد وزیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek

Khwaja Mohammad Wazir

pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek
jal gaya jo naKHl us ko barq aur baran hai ek

dekhne deta nahin us ko hijab-e-ishq hae
hun main wo mahrum jis ko wasl aur hijran hai ek

na-tawani se tere bimar ke ruKHsar par
saili-e-dast-e-sitam aur saya-e-mizhgan hai ek

pairahan mein yun badan hai jis tarah se tan mein ruh
chashm-e-bad dur ab latafat mein wo jism-o-jaan hai ek

mah se tashbih phir tujh ko na kyun kar dijiye
chandni aur saya tera ai mah-e-taban hai ek

aap se behtar ki aage KHud-numai hai zubun
ru-ba-ru-e-mehr mah-o-abr-e-be-baran hai ek

chahiye hans kar chhiDakna ai lab-e-jaanan namak
aatish-e-gham se kabab aur ye dil-e-sozan hai ek

aashiqon ke aage mushrik ai but-e-yakta hun main
gar kahun main husn mein tu aur mah-e-kanan hai ek

saikDon tuti-zaban hain yan asir-e-dam-e-gham
KHana-e-sayyaad aur ye gumbad-e-gardan hai ek

ek hi ye nur hai dil mein har ek ke jalwa-gar
shishe hain lakhon pari sab mein wale pinhan hai ek

(518) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek written by Khwaja Mohammad Wazir at UrduPoint. Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek is one of the masterpieces written by Khwaja Mohammad Wazir. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Mohammad Wazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Mohammad Wazir' above.

Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pesh-e-ashiq Chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan Hai Ek, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sufi Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.