Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain, Urdu Ghazal By Kishan Kumaar Waqaar

Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kishan Kumaar Waqaar. Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چور دروازہ یاں کے ہم بھی ہیں

کشن کمار وقار

چور دروازہ یاں کے ہم بھی ہیں

ان کو روزن سے جھانکے ہم بھی ہیں

جو عدم کو وجود سے ہیں گئے

گرد اس کارواں کے ہم بھی ہیں

فاش پردہ کرو نہ کشتوں کا

نزع میں منہ کو ڈھانکے ہم بھی ہیں

عشق چھوٹا بنا چکا ورنہ

اک بڑے خانداں کے ہم بھی ہیں

ترچھی نظروں کو سیدھا رکھیں آپ

ورنہ اک ٹیڑھے بانکے ہم بھی ہیں

ہے زمیں کا ستایا قیس اگر

زخم چیں آسماں کے ہم بھی ہیں

نقش بیٹھا اٹھے گا کس سے وقارؔ

سنگ بوس آستاں کے ہم بھی ہیں

کشن کمار وقار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain

Kishan Kumaar Waqaar

chor darwaza yan ke hum bhi hain
in ko rauzan se jhanke hum bhi hain

jo adam ko wajud se hain gae
gard us karwan ke hum bhi hain

fash parda karo na kushton ka
naza mein munh ko Dhanke hum bhi hain

ishq chhoTa bana chuka warna
ek baDe KHandan ke hum bhi hain

tirchhi nazron ko sidha rakhen aap
warna ek TeDhe banke hum bhi hain

hai zamin ka sataya qais agar
zaKHm-chin aasman ke hum bhi hain

naqsh baiTha uThega kis se 'waqar'
sang-bos aastan ke hum bhi hain

(402) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain written by Kishan Kumaar Waqaar at UrduPoint. Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain is one of the masterpieces written by Kishan Kumaar Waqaar. You can also find the complete poetry collection of Kishan Kumaar Waqaar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kishan Kumaar Waqaar' above.

Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chor Darwaza Yan Ke Hum Bhi Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.