Hawwa Ki BeTi, Urdu Nazam By Komal Raja

Hawwa Ki BeTi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Komal Raja. Hawwa Ki BeTi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Hawwa Ki BeTi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حوا کی بیٹی

کومل راجہ

سنو ایسا بھی کبھی ہوتا ہے کیا

کہ چھ راتوں پہ ایک کھڑکی سے

تین موسم اترے ہوں

اور ساتویں دن کی بھاری رات میں

آسمانی بلائیں

کائنات کے مکمل ہونے کے دکھ میں

شب ہجر مناتی ہوں

چھ دن خدا نے میری مٹی کو گوندھا

اور ساتویں رات مجھے

سانس پھونک کر دنیا کے حوالے کر دیا گیا

دنیا جس میں سات رنگ قوس و قزح کے

اور آٹھواں رنگ بہار

بھنوروں کے نتھنوں سے ہو کر

زہریلا رس بناتے ہیں

جو محبت کے نام پر

فرصت کی خالی شیشیوں میں

بھر بھر کر مفت بانٹا جاتا ہے

رس بھرے جھوٹوں کا ذائقہ چکھ چکھ کر

سچ میرے وجود میں متلی کی طرح تیرتا ہے

جب بھی یوں ہی کھڑکی سے موسم اترتے ہیں

میرے جسم سے سوندھی مٹی کی خوشبو اٹھتی رہتی ہے

اور ہر چھٹے دن کی ساتویں رات کا

طواف مکمل ہونے پر

ہجر میری آنکھوں کو چوم چوم کر

سنگ سیاہ بنا دیتا ہے

بولو ایسا بھی کبھی ہوتا ہے کیا

کہ پتھر آنکھوں سے

کانچ کی کھڑکی کے پار

اترتے موسموں کی بدلتی رتوں کو دیکھا جا سکے

تو کیوں نہ پھر آفاقی بلاؤں کی صف میں شریک ہو کر

کائناتی شب ہجراں کا ابدی ماتم منایا جائے

کومل راجہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawwa Ki BeTi

Komal Raja

suno aisa bhi kabhi hota hai kya
ki chhe raaton pe ek khiDki se
tin mausam utre hon
aur satwen din ki bhaari raat mein
aasmani balaen
kaenat ke mukammal hone ke dukh mein
shab-e-hijr manati hon
chhe din KHuda ne meri miTTi ko gundha
aur satwin raat mujhe
sans phunk kar duniya ke hawale kar diya gaya
duniya jis mein sat rang qaus-o-quzah ke
aur aaTHwan rang bahaar
bhanwaron ke nathunon se ho kar
zahrila ras banate hain
jo mohabbat ke nam par
fursat ki KHali shishiyon mein
bhar bhar kar muft banTa jata hai
ras bhare jhuTon ka zaiqa chakh chakh kar
sach mere wajud mein matli ki tarah tairta hai
jab bhi yun hi khiDki se mausam utarte hain
mere jism se sondhi miTTi ki KHushbu uThti rahti hai
aur har chhaTe din ki satwen raat ka
tawaf mukammal hone par
hijr meri aankhon ko chum chum kar
sang-e-siyah bana deta hai
bolo aisa bhi kabhi hota hai kya
ki patthar aankhon se
kanch ki khiDki ke par
utarte mausamon ki badalti ruton ko dekha ja sake
to kyun na phir aafaqi balaon ki saf mein sharik ho kar
kaenati shab-e-hijran ka abadi matam manaya jae

(1484) ووٹ وصول ہوئے

You can read Hawwa Ki BeTi written by Komal Raja at UrduPoint. Hawwa Ki BeTi is one of the masterpieces written by Komal Raja. You can also find the complete poetry collection of Komal Raja by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Komal Raja' above.

Hawwa Ki BeTi is a widely read Urdu Nazam. If you like Hawwa Ki BeTi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.