Aazad Shahri: Ek Taaruf, Urdu Nazam By Kumar Pashi

Aazad Shahri: Ek Taaruf is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Kumar Pashi. Aazad Shahri: Ek Taaruf comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aazad Shahri: Ek Taaruf on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آزاد شہری: ایک تعارف

کمار پاشی

وہ مرنے پہ راضی نہیں تھا

بڑا ڈھیٹ تھا

شاہی فرمان پر

اس نے اپنی زباں کاٹ لی تھی

وہ آنکھوں سے اندھا تھا کانوں سے بہرا

اسے اپنے چاروں طرف دیکھنے کی اجازت نہیں تھی

سماعت پہ پابندیاں تھیں

مگر شاہی دستور میں

ذکر ایسی کسی بات کا بھی نہیں تھا

وہ آزاد تھا اپنے گھر کی حدوں تک

بدن کی تہوں تک

وہ آدھا ادھورا تھا دل اس کا

گہرے عذابوں سے خالی نہیں تھا

سنا ہے: وہ اس پر بھی

مرنے پر راضی نہیں تھا

وہ خوش تھا کہ اس ملک کے شاہی دستور میں

اس کو آزاد لکھا گیا تھا

کمار پاشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aazad Shahri: Ek Taaruf

Kumar Pashi

wo marne pe raazi nahin tha
baDa DhiT tha
shahi farman par
us ne apni zaban kaT li thi

wo aankhon se andha tha kanon se bahra
use apne chaaron taraf dekhne ki ijazat nahin thi
samaat pe pabandiyan thin
magar shahi dastur mein
zikr aisi kisi baat ka bhi nahin tha
wo aazad tha apne ghar ki hadon tak
badan ki tahon tak
wo aadha-adhura tha dil us ka
gahre azabon se KHali nahin tha
suna hai: wo is par bhi
marne par raazi nahin tha

wo KHush tha ki us mulk ke shahi dastur mein
us ko aazad likkha gaya tha

(566) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aazad Shahri: Ek Taaruf written by Kumar Pashi at UrduPoint. Aazad Shahri: Ek Taaruf is one of the masterpieces written by Kumar Pashi. You can also find the complete poetry collection of Kumar Pashi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kumar Pashi' above.

Aazad Shahri: Ek Taaruf is a widely read Urdu Nazam. If you like Aazad Shahri: Ek Taaruf, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.