Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal, Urdu Ghazal By Kundan Aravali

Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kundan Aravali. Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بیان ہو نہیں سکتی کسی سے شان غزل

کندن اراولی

بیان ہو نہیں سکتی کسی سے شان غزل

ادب میں جلوۂ صد رنگ ہے جہان غزل

زمین شعر کا صدقہ کہ ہے بھرا پورا

ہزار رنگ ستاروں سے آسمان غزل

ہیں اس کی سلک میں اشعار تاب دار انجم

ہے کہکشاں سے سوا حسن کہکشان غزل

اس آب رود کے قرباں کہ جس میں دھل دھل کر

کنول کھلاتی ہے تخئیل کی زبان غزل

حدود بند زبانیں سمجھ سے دور سہی

بہت ہی سہل ہے سب کے لئے زبان غزل

تری زبان سمجھتا نہ ہو جہاں کوئی

وہاں تو بول کے تو دیکھ بر زبان غزل

یہ شوخ و شنگ ہے کافر مگر مؤدب ہے

بلند رہتا نہ ورنہ کبھی نشان غزل

چلا تھا جب بھی تھی دھج اس کی دیکھنے کی چیز

ہے اب بھی قابل نظارہ کاروان غزل

ہزار جوش اٹھے خنجر آزما ہو کر

مگر وہ چھو بھی نہیں پائے فرق شان غزل

جو مارتے رہے پتھر وہ نیم وحشی تھے

جب آیا ہوش تو دیکھا وہیں مکان غزل

شگفت گل پہ بھلا کس کا زور چلتا ہے

کسی سے بند نہ ہوگا کبھی دہان غزل

کندن اراولی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal

Kundan Aravali

bayan ho nahin sakti kisi se shan-e-ghazal
adab mein jalwa-e-sad-rang hai jahan-e-ghazal

zamin-e-sher ka sadqa ki hai bhara pura
hazar-rang sitaron se aasman-e-ghazal

hain us ki silk mein ashaar-e-tab-dar anjum
hai kahkashan se siwa husn-e-kahkashan-e-ghazal

us aab-rud ke qurban ki jis mein dhul dhul kar
kanwal khilati hai taKHil ki zaban-e-ghazal

hudud-band zabanen samajh se dur sahi
bahut hi sahl hai sab ke liye zaban-e-ghazal

teri zaban samajhta na ho jahan koi
wahan to bol ke tu dekh bar zaban-e-ghazal

ye shoKH-o-shang hai kafir magar muaddab hai
buland rahta na warna kabhi nishan-e-ghazal

chala tha jab bhi thi dhaj us ki dekhne ki chiz
hai ab bhi qabil-e-nazzara karwan-e-ghazal

hazar josh uThe KHanjar-azma ho kar
magar wo chhu bhi nahin pae farq-e-shan-e-ghazal

jo marte rahe patthar wo nim-wahshi the
jab aaya hosh to dekha wahin makan-e-ghazal

shaguft-e-gul pe bhala kis ka zor chalta hai
kisi se band na hoga kabhi dahan-e-ghazal

(658) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal written by Kundan Aravali at UrduPoint. Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal is one of the masterpieces written by Kundan Aravali. You can also find the complete poetry collection of Kundan Aravali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kundan Aravali' above.

Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bayan Ho Nahin Sakti Kisi Se Shan-e-ghazal, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.