Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah, Urdu Ghazal By Kundan Aravali

Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kundan Aravali. Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عجیب ظلم ہے صیاد کی ہوس کی طرح

کندن اراولی

عجیب ظلم ہے صیاد کی ہوس کی طرح

سلوک کرتا ہے مجھ سے چمن قفس کی طرح

ہمارے دم سے ہیں محفوظ و شاد برگ و سمن

ہمیں نہ پھینک چمن سے یوں خار و خس کی طرح

میں اپنے واسطے امرت کہاں جٹاتا ہوں

میں اپنے رس کے خزانے پہ ہوں مگس کی طرح

ضرور تو ہے نمایاں ستم گری میں ضرور

ہمارا درد بھی بڑھتا ہے تیرے جس کی طرح

کوئی خلوص ملا کر اگر پلائے تو

سرور چھاچھ بھی دیتی ہے سوم رس کی طرح

کسی نے جال بچھایا ہے غور سے دیکھو

کہ شاخ شاخ گلستاں میں ہے چکس کی طرح

بہت عجیب کہانی ہے میرے عالم کی

بنا صفر سے ہوں میں ایک انیک دس کی طرح

اگر میں ہوں تو میں ہوں اور اگر گیا تو گیا

میں معتبر نہیں نا معتبر نفس کی طرح

نہ جانے کون سے جنگل کا جیو ہے واعظ

شراب پیتا ہے کم بخت بوالہوس کی طرح

یہ بزدلی کا طلسم اب تو توڑ دے کندنؔ

کہ بانگ دیتی ہے پازیب بھی جرس کی طرح

کندن اراولی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah

Kundan Aravali

ajib zulm hai sayyaad ki hawas ki tarah
suluk karta hai mujh se chaman qafas ki tarah

hamare dam se hain mahfuz-o-shad barg-o-saman
hamein na phenk chaman se yun KHar-o-KHas ki tarah

main apne waste amrit kahan juTata hun
main apne ras ke KHazane pe hun magas ki tarah

zarur tu hai numayan sitamgari mein zarur
hamara dard bhi baDhta hai tere jas ki tarah

koi KHulus mila kar agar pilae to
surur chhachh bhi deti hai somras ki tarah

kisi ne jal bichhaya hai ghaur se dekho
ki shaKH shaKH gulistan mein hai chakas ki tarah

bahut ajib kahani hai mere aalam ki
bana sifar se hun main ek anek das ki tarah

agar main hun to main hun aur agar gaya to gaya
main mo'atabar nahin na-mo'tabar nafas ki tarah

na jaane kaun se jangal ka jiw hai waiz
sharab pita hai kam-baKHt bul-hawas ki tarah

ye buzdili ka tilism ab to toD de 'kundan'
ki bang deti hai pazeb bhi jaras ki tarah

(534) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah written by Kundan Aravali at UrduPoint. Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah is one of the masterpieces written by Kundan Aravali. You can also find the complete poetry collection of Kundan Aravali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kundan Aravali' above.

Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajib Zulm Hai Sayyaad Ki Hawas Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.