Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya, Urdu Ghazal By Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذرا ذرا سی آن میں وہ جان جاں بدل گیا

کنور مہیندر سنگھ بیدی سحر

ذرا ذرا سی آن میں وہ جان جاں بدل گیا

کبھی تو بات کاٹ دی کبھی زباں بدل گیا

ہمیں تو یہ گلہ نہیں کہ جان جاں بدل گیا

گلہ یہ ہے کہ وہ بحق دیگراں بدل گیا

بہار تو بہار تھی خزاں بھی اب بہار ہے

نظام گلستاں مزاج باغباں بدل گیا

بجا کہ ہے تغیر چمن سے زینت چمن

مگر یہ کیا کہ گلستاں کا گلستاں بدل گیا

فغان و ضبط آہ میں یہی ہے فرق اور کیا

کہ آگ تو لگی رہی مگر دھواں بدل گیا

رہ حیات سے ہزاروں راستے نکل گئے

کسے یہ اب خیال ہے کہ کوئی کہاں بدل گیا

تری نگاہ تھی تو اک جہان سازگار تھا

تری نگاہ پھر گئی تو اک جہاں بدل گیا

وہی فریب دشمناں ہے اس کا غم نہیں ہمیں

ہمیں تو غم یہ ہے خلوص دوستاں بدل گیا

جنوں نے سونپ دی خرد کے ہاتھ رسم رہبری

لو اہل کارواں امیر کارواں بدل گیا

وجود سے عدم کو یوں چلا گیا ہے اک غریب

کرایہ دار جس طرح کوئی مکاں بدل گیا

حرم سے جو خلوص تھا ہے دیر سے وہی خلوص

جبیں وہی ہے کیا ہوا جو آستاں بدل گیا

کنور مہیندر سنگھ بیدی سحر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

zara zara si aan mein wo jaan-e-jaan badal gaya
kabhi to baat kaT di kabhi zaban badal gaya

hamein to ye gila nahin ki jaan-e-jaan badal gaya
gila ye hai ki wo ba-haqq-e-digaran badal gaya

bahaar to bahaar thi KHizan bhi ab bahaar hai
nizam-e-gulsitan mizaj-e-baghban badal gaya

baja ki hai taghayyur-e-chaman se zinat-e-chaman
magar ye kya ki gulsitan ka gulsitan badal gaya

fughan-o-zabt-e-ah mein yahi hai farq aur kya
ki aag to lagi rahi magar dhuan badal gaya

rah-e-hayat se hazaron raste nikal gae
kise ye ab KHayal hai ki koi kahan badal gaya

teri nigah thi to ek jahan sazgar tha
teri nigah phir gai to ek jahan badal gaya

wahi fareb-e-dushmanan hai is ka gham nahin hamein
hamein to gham ye hai KHulus-e-dostan badal gaya

junun ne saunp di KHirad ke hath rasm-e-rahbari
lo ahl-e-karwan amir-e-karwan badal gaya

wajud se adam ko yun chala gaya hai ek gharib
kirae-dar jis tarah koi makan badal gaya

haram se jo KHulus tha hai der se wahi KHulus
jabin wahi hai kya hua jo aastan badal gaya

(635) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar at UrduPoint. Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya is one of the masterpieces written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. You can also find the complete poetry collection of Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar' above.

Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zara Zara Si Aan Mein Wo Jaan-e-jaan Badal Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.