Jazbaat-e-aftab, Urdu Nazam By Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

Jazbaat-e-aftab is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Lala Anoop Chand Aaftab Panipati. Jazbaat-e-aftab comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Jazbaat-e-aftab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جذبات آفتاب

لالہ انوپ چند آفتاب پانی پتی

آہ میں اے دل مظلوم اثر پیدا کر

جس میں سودائے محبت ہو وہ سر پیدا کر

غم کا طوفاں بھی اگر آئے تو کچھ فکر نہ کر

قوم کا درد ہر اک دل میں مگر پیدا کر

ظلمت غم کا نشاں تک نہ نظر آئے کہیں

وہ خیالات کی دنیا میں سحر پیدا کر

سرفروشوں کی طرح پہلے مٹا دے خود کو

ہند کی خاک سے پھر لعل و گہر پیدا کر

آگ بے فیض کی دولت کو لگا دے یا رب

کام آئے جو غریبوں کے وہ زر پیدا کر

آج بھی قوم کے شیروں کا لہو ہے تجھ میں

حوصلہ رام کا بھیشم کا جگر پیدا کر

ہوں ہنومان اور انگدؔ سے ہزاروں یودھا

سینکڑوں بھیم اور ارجن سے بشر پیدا کر

آسماں کانپتا ہے نام سے جن کے اب تک

آج پھر قوم میں وہ لخت جگر پیدا کر

پھر ضرورت ہے جواں مردوں کی اے مادر ہند

رانا‌ پرتاپ سے خوددار بشر پیدا کر

عہد رفتہ میں جنم تو نے دیا تھا جن کو

مادر ہند وہی نور نظر پیدا کر

چین راحت سے اگر عمر بسر کرنی ہے

دل میں اغیار کے بھی انس سے گھر پیدا کر

گر تمنا ہے کہ ہو سارا زمانہ اپنا

جذبۂ عشق و محبت کی نظر پیدا کر

آفتابؔ اب تری تقدیر کا چمکے گا ضرور

مرد بن کر کوئی دنیا میں ہنر پیدا کر

لالہ انوپ چند آفتاب پانی پتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jazbaat-e-aftab

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

aah mein ai dil-e-mazlum asar paida kar
jis mein sauda-e-mohabbat ho wo sar paida kar

gham ka tufan bhi agar aae to kuchh fikr na kar
qaum ka dard har ek dil mein magar paida kar

zulmat-e-gham ka nishan tak na nazar aae kahin
wo KHayalat ki duniya mein sahar paida kar

sarfaroshon ki tarah pahle miTa de KHud ko
hind ki KHak se phir lal-o-gohar paida kar

aag be-faiz ki daulat ko laga de yarab
kaam aae jo gharibon ke wo zar paida kar

aaj bhi qaum ke sheron ka lahu hai tujh mein
hausla ram ka bhisham ka jigar paida kar

hon hanuman aur 'angad' se hazaron yodhdha
sainkaDon bhim aur arjun se bashar paida kar

aasman kanpta hai nam se jin ke ab tak
aaj phir qaum mein wo laKHt-e-jigar paida kar

phir zarurat hai jawan mardon ki ai madar-e-hind
rana-pratap se KHuddar bashar paida kar

ahd-e-rafta mein janam tu ne diya tha jin ko
madar-e-hind wahi nur-e-nazar paida kar

chain rahat se agar umr basar karni hai
dil mein aghyar ke bhi uns se ghar paida kar

gar tamanna hai ki ho sara zamana apna
jazba-e-ishq-o-mohabbat ki nazar paida kar

'aftab' ab teri taqdir ka chamkega zarur
mard ban kar koi duniya mein hunar paida kar

(625) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jazbaat-e-aftab written by Lala Anoop Chand Aaftab Panipati at UrduPoint. Jazbaat-e-aftab is one of the masterpieces written by Lala Anoop Chand Aaftab Panipati. You can also find the complete poetry collection of Lala Anoop Chand Aaftab Panipati by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Lala Anoop Chand Aaftab Panipati' above.

Jazbaat-e-aftab is a widely read Urdu Nazam. If you like Jazbaat-e-aftab, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.