Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag, Urdu Ghazal By Maatam Fazl Mohammad

Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Maatam Fazl Mohammad. Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شعلوں سے محبت کی مری جاں میں لگی آگ

ماتم فضل محمد

شعلوں سے محبت کی مری جاں میں لگی آگ

پھر جاں سے بھڑک جسم کے میداں میں لگی آگ

یہ آتش غم ہے کہ دم سرد سے اپنے

سرچشمۂ خورشید درخشاں میں لگی آگ

اس حور کے کوچے میں بھرے ہم جو دم گرم

مردم نے کہا روضۂ رضواں میں لگی آگ

خنداں جو ہوا یار ہمیں دیکھ کے گریاں

لوگوں نے کہا برق سے باراں میں لگی آگ

ان روزوں میں ہے رنگ جو اشکوں کا گلابی

شاید کہ مرے دیدۂ گریاں میں لگی آگ

گرمی سے نگر کے ترے گن آب ہوا دیکھ

بلبل نے پکارا کہ گلستاں میں لگی آگ

ناری ہیں جو پریاں یہ سبب ہے کہ تمہارے

نور رخ روشن سے پرستاں میں لگی آگ

اس آتشیں رو کو بہ لب بام جو دیکھا

عالم نے کہا گنبد گرداں میں لگی آگ

دریا میں وہ دھویا تھا کبھی دست حنائی

حسرت سے وہیں پنجۂ مرجاں میں لگی آگ

غیروں کی طرف جو نظر مہر سے دیکھا

غیرت سے مرے سینۂ سوزاں میں لگی آگ

کیوں کوہ کن و قیس رہیں مجھ سے نہ نالاں

نالوں سے مرے کوہ و بیاباں میں لگی آگ

وہ سوختہ دل ہوں میں پس از مرگ جو گزرا

مرقد سے مرے یار کے داماں میں لگی آگ

ماتمؔ ہے کسی سوختہ دل کا اثر آہ

بے وجہ نہیں کوچۂ جاناں میں لگی آگ

ماتم فضل محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag

Maatam Fazl Mohammad

shoalon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag
phir jaan se bhaDak jism ke maidan mein lagi aag

ye aatish-e-gham hai ki dam-e-sard se apne
sar-chashma-e-KHurshid-e-daraKHshan mein lagi aag

us hur ke kuche mein bhare hum jo dam-e-garm
mardum ne kaha rauza-e-rizwan mein lagi aag

KHandan jo hua yar hamein dekh ke giryan
logon ne kaha barq se baran mein lagi aag

in rozon mein hai rang jo ashkon ka gulabi
shayad ki mere dida-e-giryan mein lagi aag

garmi se nagar ke tere gun aab hua dekh
bulbul ne pukara ki gulistan mein lagi aag

nari hain jo pariyan ye sabab hai ki tumhaare
nur-e-ruKH-e-raushan se paristan mein lagi aag

us aatishin-ru ko ba-lab-e-baam jo dekha
aalam ne kaha gumbad-e-gardan mein lagi aag

dariya mein wo dhoya tha kabhi dast-e-hinai
hasrat se wahin panja-e-marjaan mein lagi aag

ghairon ki taraf jo nazar-e-mehr se dekha
ghairat se mere sina-e-sozan mein lagi aag

kyun kohkan-o-qais rahen mujh se na nalan
nalon se mere koh-o-bayaban mein lagi aag

wo soKHta-dil hun main pas-az-marg jo guzra
marqad se mere yar ke daman mein lagi aag

'matam' hai kisi soKHta-dil ka asar-e-ah
be-wajh nahin kucha-e-jaanan mein lagi aag

(453) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag written by Maatam Fazl Mohammad at UrduPoint. Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag is one of the masterpieces written by Maatam Fazl Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Maatam Fazl Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maatam Fazl Mohammad' above.

Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shoalon Se Mohabbat Ki Meri Jaan Mein Lagi Aag, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.