Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain, Urdu Ghazal By Mahir Abdul Hayee

Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahir Abdul Hayee. Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو بظاہر سحر آثار نظر آتے ہیں

ماہر عبدالحی

جو بظاہر سحر آثار نظر آتے ہیں

وہ بھی اندر سے شب تار نظر آتے ہیں

کیجیے کس سے یہاں قدر ہنر کی امید

اب وہ دربار نہ در بار نظر آتے ہیں

کم سے کم اپنے گریباں ہی کے پرزے کرتے

ہاتھ پر ہاتھ دھرے یار نظر آتے ہیں

شہر در شہر مکانوں میں اندھیرا ہے مگر

جگمگاتے ہوئے بازار نظر آتے ہیں

کون آواز اٹھائے گا ہمارے حق میں

سب ترے حاشیہ بردار نظر آتے ہیں

یہ بھی ممکن ہے کہ اڑ جائیں تو لوٹیں نہ کبھی

جتنے بچے ہیں وہ پر دار نظر آتے ہیں

کتنی دل کش ہے یہ امید کی رنگ آمیزی

سنگ دل لوگ بھی دل دار نظر آتے ہیں

وہ رہے ہوں گے نزاکت میں کبھی شاخ گلاب

اب تو جب دیکھیے تلوار نظر آتے ہیں

کس کی آمد ہے غریبوں کے گلی کوچے میں

اجلے اجلے در و دیوار نظر آتے ہیں

جن کے دیدار کو فردوس تماشا کہئے

زندگی میں کہیں اک بار نظر آتے ہیں

شوخیٔ نقش قدم ہے کہ گلابوں کی قطار

راستے سب گل و گلزار نظر آتے ہیں

جو ہر اک بند سے آزاد ہیں وہ بھی ماہرؔ

اپنی خصلت کے گرفتار نظر آتے ہیں

ماہر عبدالحی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain

Mahir Abdul Hayee

jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain
wo bhi andar se shab-e-tar nazar aate hain

kijiye kis se yahan qadr-e-hunar ki ummid
ab wo darbar na dur-bar nazar aate hain

kam se kam apne gareban hi ke purze karte
hath par hath dhare yar nazar aate hain

shahr-dar-shahr makanon mein andhera hai magar
jagmagate hue bazar nazar aate hain

kaun aawaz uThaega hamare haq mein
sab tere hashiya-bardar nazar aate hain

ye bhi mumkin hai ki uD jaen to lauTen na kabhi
jitne bachche hain wo par-dar nazar aate hain

kitni dilkash hai ye ummid ki rang-amezi
sang-dil log bhi dildar nazar aate hain

wo rahe honge nazakat mein kabhi shaKH-e-gulab
ab to jab dekhiye talwar nazar aate hain

kis ki aamad hai gharibon ke gali-kuche mein
ujle ujle dar-o-diwar nazar aate hain

jin ke didar ko firdaus-e-tamasha kahiye
zindagi mein kahin ek bar nazar aate hain

shoKHi-e-naqsh-e-qadam hai ki gulabon ki qatar
raste sab gul-o-gulzar nazar aate hain

jo har ek band se aazad hain wo bhi 'mahir'
apni KHaslat ke giraftar nazar aate hain

(487) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain written by Mahir Abdul Hayee at UrduPoint. Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain is one of the masterpieces written by Mahir Abdul Hayee. You can also find the complete poetry collection of Mahir Abdul Hayee by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahir Abdul Hayee' above.

Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.