Garm Hathon Mein ShaKH, Urdu Nazam By Makhdoom Munawwar

Garm Hathon Mein ShaKH is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Makhdoom Munawwar. Garm Hathon Mein ShaKH comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Garm Hathon Mein ShaKH on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گرم ہاتھوں میں شاخ

مخدوم منور

ان کے ذہن

ان کی پرانی لکیروں میں

ڈوب رہے ہیں

وہ اپنی ڈوبتی سانسوں کے

اندھیرے کمروں میں

ہاتھ پاؤں مار رہے ہیں

ان کی سوچ کا زخمی کوہان

مکھیوں کی بھنبھناہٹ سے

لرزیدہ ہے

انہیں نئے بتوں سے

نفرت ہے

وہ پرانے بتوں کی پرستش میں

نئے پیدا ہونے والے

بچے کا گلا

گھونٹنا چاہتے ہیں

کہ آزادی کی آواز

اس کے حلق سے نکل کر

ان کے کپڑوں کو

اجلا نہ کر دے

وہ اجلے پن کی پیشانی سے

ڈرتے ہیں

کہ وہ پرانے خداؤں کی

پرستش میں

اپنے آپ کو بھول گئے ہیں

اور آنے والا بچہ

صدیوں پرانے

درخت کی ٹہنی پر بیٹھا

مسکراہٹ کی جھلملاہٹ میں

گرم ہاتھوں کی شاخوں میں

نہا رہا ہے

مخدوم منور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Garm Hathon Mein ShaKH

Makhdoom Munawwar

in ke zehn
un ki purani lakiron mein
Dub rahe hain
wo apni Dubti sanson ke
andhere kamron mein
hath panw mar rahe hain
un ki soch ka zaKHmi kohan
makkhiyon ki bhunbhunahat se
larzida hai
unhen nae buton se
nafrat hai
wo purane buton ki parastish mein
nae paida hone wale
bachche ka gala
ghonTna chahte hain
ki aazadi ki aawaz
is ke halq se nikal kar
un ke kapDon ko
ujla na kar de
wo ujle-pan ki peshani se
Darte hain
ki wo purane KHudaon ki
parastish mein
apne aap ko bhul gae hain
aur aane wala bachcha
sadiyon purane
daraKHt ki Tahni par baiTha
muskurahaT ki jhilmilahaT mein
garm hathon ki shaKHon mein
naha raha hai

(311) ووٹ وصول ہوئے

You can read Garm Hathon Mein ShaKH written by Makhdoom Munawwar at UrduPoint. Garm Hathon Mein ShaKH is one of the masterpieces written by Makhdoom Munawwar. You can also find the complete poetry collection of Makhdoom Munawwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Makhdoom Munawwar' above.

Garm Hathon Mein ShaKH is a widely read Urdu Nazam. If you like Garm Hathon Mein ShaKH, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.