Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha, Urdu Ghazal By Manzar Lakhnavi

Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manzar Lakhnavi. Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرگ عاشق پر فرشتہ موت کا بدنام تھا

منظر لکھنوی

مرگ عاشق پر فرشتہ موت کا بدنام تھا

وہ ہنسی روکے ہوئے بیٹھا تھا جس کا کام تھا

خون ناحق سے مکرنے کا کہاں ہنگام تھا

تیر جتنے دل سے نکلے سب پر ان کا نام تھا

کیا بتائی جائیں شام ہجر کی مجبوریاں

دل ہمارا تھا نہ ہم دل کے عجب ہنگام تھا

ہجر کی دو کروٹوں نے کر دیا قصہ تمام

درد دل آغاز تھا درد جگر انجام تھا

ایسے وقتوں میں کلیجہ غم سے ہو جاتا ہے شق

صبر اپنے دل کی میت پر ہمارا کام تھا

اہل محشر دیکھ لوں قاتل کو تو پہچان لوں

بھولی بھولی شکل تھی اور کچھ بھلا سا سام تھا

اب کوئی دیوانہ کہتا ہے کوئی وحشی مجھے

آپ کی الفت سے پہلے میرا منظرؔ نام تھا

منظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha

Manzar Lakhnavi

marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha
wo hansi roke hue baiTha tha jis ka kaam tha

KHun-e-nahaq se mukarne ka kahan hangam tha
tir jitne dil se nikle sab par un ka nam tha

kya batai jaen sham-e-hijr ki majburiyan
dil hamara tha na hum dil ke ajab hangam tha

hijr ki do karwaTon ne kar diya qissa tamam
dard-e-dil aaghaz tha dard-e-jigar anjam tha

aise waqton mein kaleja gham se ho jata hai shaq
sabr apne dil ki mayyat par hamara kaam tha

ahl-e-mahshar dekh lun qatil ko to pahchan lun
bholi bholi shakl thi aur kuchh bhala sa sam tha

ab koi diwana kahta hai koi wahshi mujhe
aap ki ulfat se pahle mera 'manzar' nam tha

(444) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha written by Manzar Lakhnavi at UrduPoint. Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha is one of the masterpieces written by Manzar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Manzar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manzar Lakhnavi' above.

Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Marg-e-ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.