Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai, Urdu Ghazal By Manzar Saleem

Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manzar Saleem. Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مدت سے جسم برف میں جکڑا ہوا سا ہے

منظر سلیم

مدت سے جسم برف میں جکڑا ہوا سا ہے

ماحول میرے سینے میں بیٹھا ہوا سا ہے

کہرے میں آنکھ پھوٹ گئی تب خبر ملی

سورج مری تلاش میں نکلا ہوا سا ہے

ہر آنکھ مجھ پہ پڑتی ہے تلوار کی طرح

ہر شخص میرے خوں میں نہایا ہوا سا ہے

نفرت کے جس پہاڑ کے نیچے کھڑا ہوں میں

وہ ساری کائنات پہ پھیلا ہوا سا ہے

گھر میں دھواں بھرا ہے کہ بیٹھوں تو دم گھٹے

باہر تمام شہر سلگتا ہوا سا ہے

ہاں میں غنودگی کے دھندلکے میں ہوں اسیر

ہاں میرا ذہن صدیوں کا جاگا ہوا سا ہے

منظر سلیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai

Manzar Saleem

muddat se jism barf mein jakDa hua sa hai
mahaul mere sine mein baiTha hua sa hai

kohre mein aankh phuT gai tab KHabar mili
suraj meri talash mein nikla hua sa hai

har aankh mujh pe paDti hai talwar ki tarah
har shaKHs mere KHun mein nahaya hua sa hai

nafrat ke jis pahaD ke niche khaDa hun main
wo sari kaenat pe phaila hua sa hai

ghar mein dhuan bhara hai ki baiThun to dam ghuTe
bahar tamam shahr sulagta hua sa hai

han main ghunudgi ke dhundalke mein hun asir
han mera zehn sadiyon ka jaga hua sa hai

(634) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai written by Manzar Saleem at UrduPoint. Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai is one of the masterpieces written by Manzar Saleem. You can also find the complete poetry collection of Manzar Saleem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manzar Saleem' above.

Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Muddat Se Jism Barf Mein JakDa Hua Sa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.