Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho, Urdu Ghazal By Mauj Rampuri

Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mauj Rampuri. Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمن میں رہ کے گلوں پر جب اختیار نہ ہو

موج رامپوری

چمن میں رہ کے گلوں پر جب اختیار نہ ہو

تو وہ چمن کبھی شرمندۂ بہار نہ ہو

کوئی جہان میں عظمت بہار کی نہ کرے

اگر ہمارا گریباں ہی تار تار نہ ہو

یہ بھید کھل نہیں سکتا ہے اہل ظاہر پر

کوئی جنون محبت کا رازدار نہ ہو

ابھی تو ایسی ہزاروں شبیں گزرنی ہیں

اسیر شام الم اتنا بے قرار نہ ہو

وہی کہ جس کی قیادت کریں غلط رہبر

وہ کارواں کبھی منزل سے ہم کنار نہ ہو

مرا جہان تمنا اجاڑنے والے

تباہیوں پہ مری دیکھ شرمسار نہ ہو

وفا شعار وفا کا نہ کر کبھی اظہار

اگر وفا کا زمانے کو اعتبار نہ ہو

نہ لوں پناہ جنوں کی تو کیا کروں ہمدم

کسی طرح بھی مرے دل کو جب قرار نہ ہو

گلی میں رہنے کا دو اذن مستقل مجھ کو

سکوں وہ چاہ رہا ہوں جو مستعار نہ ہو

پھر آنے والے حوادث سے کون کھیلے گا

سفینہ دامن ساحل سے ہم کنار نہ ہو

یہی بہار اگر ہے تو موجؔ ممکن ہے

جنوں کے ہاتھ کو دامن پہ اختیار نہ ہو

موج رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho

Mauj Rampuri

chaman mein rah ke gulon par jab iKHtiyar na ho
to wo chaman kabhi sharminda-e-bahaar na ho

koi jahan mein azmat bahaar ki na kare
agar hamara gareban hi tar tar na ho

ye bhed khul nahin sakta hai ahl-e-zahir par
koi junun-e-mohabbat ka raazdar na ho

abhi to aisi hazaron shaben guzarni hain
asir-e-sham-e-alam itna be-qarar na ho

wahi ki jis ki qayaadat karen ghalat rahbar
wo karwan kabhi manzil se ham-kanar na ho

mera jahan-e-tamanna ujaDne wale
tabahiyon pe meri dekh sharmsar na ho

wafa-shiar wafa ka na kar kabhi izhaar
agar wafa ka zamane ko e'tibar na ho

na lun panah junun ki to kya karun hamdam
kisi tarah bhi mere dil ko jab qarar na ho

gali mein rahne ka do izn-e-mustaqil mujh ko
sukun wo chah raha hun jo mustaar na ho

phir aane wale hawadis se kaun khelega
safina daman-e-sahil se ham-kanar na ho

yahi bahaar agar hai to 'mauj' mumkin hai
junun ke hath ko daman pe iKHtiyar na ho

(602) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho written by Mauj Rampuri at UrduPoint. Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho is one of the masterpieces written by Mauj Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Mauj Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mauj Rampuri' above.

Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chaman Mein Rah Ke Gulon Par Jab IKHtiyar Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.