Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote, Urdu Ghazal By Mayank Awasthi

Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mayank Awasthi. Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگر ہواؤں کے رخ مہرباں نہیں ہوتے

مینک اوستھی

اگر ہواؤں کے رخ مہرباں نہیں ہوتے

تو بجھتی آگ کے تیور جواں نہیں ہوتے

دلوں پہ برف جمی ہے لبوں پہ صحرا ہے

کہیں خلوص کے جھرنے رواں نہیں ہوتے

ہم اس زمین کو اشکوں سے سبز کرتے ہیں

یہ وہ چمن ہے جہاں باغباں نہیں ہوتے

کہاں نہیں ہیں ہمارے بھی خیر خواہ مگر

جہاں گہار لگاؤ وہاں نہیں ہوتے

ادھر تو آنکھ برستی ہے دل دھڑکتا ہے

یہ سانحات تمہارے یہاں نہیں ہوتے

وفا کا ذکر چلایا تو ہنس کے بولے وہ

فضول کام ہمارے یہاں نہیں ہوتے

مینک اوستھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote

Mayank Awasthi

agar hawaon ke ruKH mehrban nahin hote
to bujhti aag ke tewar jawan nahin hote

dilon pe barf jami hai labon pe sahra hai
kahin KHulus ke jharne rawan nahin hote

hum is zamin ko ashkon se sabz karte hain
ye wo chaman hai jahan baghban nahin hote

kahan nahin hain hamare bhi KHair-KHwah magar
jahan guhaar lagao wahan nahin hote

idhar to aankh barasti hai dil dhaDakta hai
ye sanehat tumhaare yahan nahin hote

wafa ka zikr chalaya to hans ke bole wo
fuzul kaam hamare yahan nahin hote

(609) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote written by Mayank Awasthi at UrduPoint. Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote is one of the masterpieces written by Mayank Awasthi. You can also find the complete poetry collection of Mayank Awasthi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mayank Awasthi' above.

Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.