Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se, Urdu Ghazal By Mazhar Imam

Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mazhar Imam. Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھر آپ نے دیکھا ہے محبت کی نظر سے

مظہر امام

پھر آپ نے دیکھا ہے محبت کی نظر سے

گزرے نہ کہیں گردش دوراں بھی ادھر سے

پوچھیں تو ذرا پیچ و خم راہ کی باتیں

کچھ لوگ ابھی لوٹ کے آئے ہیں سفر سے

شاید کہیں سورج کی کرن شام کو پھوٹے

ہم شمع جلائے ہوئے بیٹھے ہیں سحر سے

لوگو مری آشفتہ سری پر نہ کرو طنز

الزام اتارو کوئی اس زلف کے سر سے

دیکھا نہ انہیں دیدۂ حیرت نے دوبارہ

جلووں کو شکایت ہے مری تاب نظر سے

خوشبوئے گل و لالہ چھپا لیتے ہیں پتے

اب قدر ہنر ہے تو فقط عرض ہنر سے

تارے تو چمک اپنی دکھاتے ہیں سحر تک

دل ڈوبنے لگتا ہے مگر پچھلے پہر سے

غیروں کی نگاہیں ترے جلووں سے ہیں سیراب

اے کاش یہ بادل مری آنکھوں پہ بھی برسے

ظلمت ہی کے سائے میں سکوں ڈھونڈئیے مظہرؔ

خیرات بہت مانگ چکے نور سحر سے

مظہر امام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se

Mazhar Imam

phir aap ne dekha hai mohabbat ki nazar se
guzre na kahin gardish-e-dauran bhi idhar se

puchhen to zara pech-o-KHam-e-rah ki baaten
kuchh log abhi lauT ke aae hain safar se

shayad kahin suraj ki kiran sham ko phuTe
hum shama jalae hue baiThe hain sahar se

logo meri aashufta-sari par na karo tanz
ilzam utaro koi us zulf ke sar se

dekha na unhen dida-e-hairat ne dobara
jalwon ko shikayat hai meri tab-e-nazar se

KHushbu-e-gul-o-lala chhupa lete hain patte
ab qadr-e-hunar hai to faqat arz-e-hunar se

tare to chamak apni dikhate hain sahar tak
dil Dubne lagta hai magar pichhle pahar se

ghairon ki nigahen tere jalwon se hain sairab
ai kash ye baadal meri aankhon pe bhi barse

zulmat hi ke sae mein sukun DhunDiye 'mazhar'
KHairaat bahut mang chuke nur-e-sahar se

(471) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se written by Mazhar Imam at UrduPoint. Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se is one of the masterpieces written by Mazhar Imam. You can also find the complete poetry collection of Mazhar Imam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mazhar Imam' above.

Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.