Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun, Urdu Ghazal By Meer Kallu Arsh

Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Kallu Arsh. Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں دریائے قناعت آشنا ہوں

میر کلو عرش

میں دریائے قناعت آشنا ہوں

میں موج نشان بوریا ہوں

میں عاشق چشم سرمہ سا ہوں

گر خاک بھی ہوں تو توتیا ہوں

طفلی ہی سے وحشت آشنا ہوں

میں اس دامن‌ دشت میں پلا ہوں

دیکھے جو مجھے جہاں کو دیکھے

میں آئنۂ جہاں نما ہوں

چل سکتے نہیں جو باغ تک بھی

طاؤس صفت عدوئے پا ہوں

دیوانہ جو ہوں تو ہوں میں خاموش

زنجیر جو ہوں تو بے صدا ہوں

تا گور بھی صفت سے نہ پہنچوں

بالفرض اگر ہزار پا ہوں

صحبت ہو برآر کس طرح یار

تو شاہ ہے اور میں گدا ہوں

ہر شعر میں زلف کی ہے تعریف

اس بحر میں موج آشنا ہوں

سنتا نہیں ایک بت مرا حال

فریادی تجھ سے اے خدا ہوں

کہتی ہے زبان حال سے موت

میں درد فراق کی دوا ہوں

کہتی ہے یہ روح تن سے ہر دم

تو خاک جو ہو تو میں دوا ہوں

یہ توسن عمر گرم رفتار

کہتا ہے میں اب چراغ پا ہوں

اے عرشؔ زیارت اب کروں گا

میں رہرو دشت کربلا ہوں

میر کلو عرش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun

Meer Kallu Arsh

main dariya-e-qanaat-ashna hun
main mauj-e-nishan-e-boriya hun

main aashiq-e-chashm-e-surma-sa hun
gar KHak bhi hun to tutiya hun

tifli hi se wahshat-ashna hun
main us daman-e-dasht mein pala hun

dekhe jo mujhe jahan ko dekhe
main aaina-e-jahan-numa hun

chal sakte nahin jo bagh tak bhi
taus-sifat adu-e-pa hun

diwana jo hun to hun main KHamosh
zanjir jo hun to be-sada hun

ta-gor bhi sifat se na pahunchun
bil-farz agar hazar pa hun

sohbat ho barar kis tarah yar
tu shah hai aur main gada hun

har sher mein zulf ki hai tarif
is bahr mein mauj-ashna hun

sunta nahin ek but mera haal
fariyaadi tujh se ai KHuda hun

kahti hai zaban-e-haal se maut
main dard-e-firaq ki dawa hun

kahti hai ye ruh tan se har-dam
tu KHak jo ho to main dawa hun

ye tausan-e-umr garm-raftar
kahta hai main ab charagh-pa hun

ai 'arsh' ziyarat ab karunga
main rah-raw-e-dasht-e-karbala hun

(1366) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun written by Meer Kallu Arsh at UrduPoint. Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun is one of the masterpieces written by Meer Kallu Arsh. You can also find the complete poetry collection of Meer Kallu Arsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Kallu Arsh' above.

Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.