Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai, Urdu Ghazal By Mehdi Machli Shahri

Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mehdi Machli Shahri. Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حقیقت تو یہ ہے یاور اگر تقدیر ہوتی ہے

مہدی مچھلی شہری

حقیقت تو یہ ہے یاور اگر تقدیر ہوتی ہے

تو ہر مشکل میں پیدا اک نہ اک تدبیر ہوتی ہے

نکلتی ہے جو دل سے آہ وہ اکسیر ہوتی ہے

دعائے صبح گاہی میں عجب تاثیر ہوتی ہے

شب وعدہ ترے آنے میں جب تاخیر ہوتی ہے

ہماری ہر نظر اک یاس کی تصویر ہوتی ہے

ہمیں کیوں منع کرتا ہے تو واعظ بت پرستی سے

صنم خانے ہی میں کعبہ کی بھی تعمیر ہوتی ہے

کسی کی شان رحمت کہہ گئی میری ندامت سے

جو بندے ہیں انہیں سے اصل میں تقصیر ہوتی ہے

شریک شام تنہائی نہیں ہوتا اگر کوئی

مری آنکھوں میں تو دل میں تری تصویر ہوتی ہے

خطائیں ہوتی رہتی ہیں نظر انداز غیروں کی

مری ہر بے گناہی قابل تعزیر ہوتی ہے

فقط ہے دشت پیمائی سے مطلب چارہ گر ہم کو

کہیں ہم وحشیوں کے پاؤں میں زنجیر ہوتی ہے

عطا کر ایسے نالے جو ترے در تک پہنچ جائیں

ہمیں وہ آہ دے جس آہ میں تاثیر ہوتی ہے

مری میت کا نقشہ کھینچنے دو میرے مدفن میں

یہی تو زندگی کی آخری تصویر ہوتی ہے

ہماری آنکھ لائے تاب جلوہ کس طرح مہدیؔ

نظر اٹھتی ہے جو وہ چادر تنویر ہوتی ہے

مہدی مچھلی شہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai

Mehdi Machli Shahri

haqiqat to ye hai yawar agar taqdir hoti hai
to har mushkil mein paida ek na ek tadbir hoti hai

nikalti hai jo dil se aah wo iksir hoti hai
dua-e-subh-gahi mein ajab tasir hoti hai

shab-e-wada tere aane mein jab taKHir hoti hai
hamari har nazar ek yas ki taswir hoti hai

hamein kyon mana karta hai tu waiz but-parasti se
sanam-KHane hi mein kabe ki bhi tamir hoti hai

kisi ki shan-e-rahmat kah gai meri nadamat se
jo bande hain unhin se asl mein taqsir hoti hai

sharik-e-sham-e-tanhai nahin hota agar koi
meri aankhon mein tu dil mein teri taswir hoti hai

KHataen hoti rahti hain nazar-andaz ghairon ki
meri har be-gunahi qabil-e-tazir hoti hai

faqat hai dasht-paimai se matlab chaaragar hum ko
kahin hum wahshiyon ke panw mein zanjir hoti hai

ata kar aise nale jo tere dar tak pahunch jaen
hamein wo aah de jis aah mein tasir hoti hai

meri mayyat ka naqsha khinchne do mere madfan mein
yahi to zindagi ki aaKHiri taswir hoti hai

hamari aankh lae tab-e-jalwa kis tarah 'mehdi'
nazar uThti hai jo wo chadar-e-tanwir hoti hai

(865) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai written by Mehdi Machli Shahri at UrduPoint. Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai is one of the masterpieces written by Mehdi Machli Shahri. You can also find the complete poetry collection of Mehdi Machli Shahri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mehdi Machli Shahri' above.

Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haqiqat To Ye Hai Yawar Agar Taqdir Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.