Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin, Urdu Ghazal By Meraj Naqvi

Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meraj Naqvi. Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی بھی لمحہ غموں سے نجات ہے ہی نہیں

معراج نقوی

کسی بھی لمحہ غموں سے نجات ہے ہی نہیں

حیات کہتے ہیں جس کو حیات ہے ہی نہیں

تلاش کیجیے اپنوں میں کون قاتل ہے

ہمارے قتل میں غیروں کا ہاتھ ہے ہی نہیں

نہ چاند تارے نہ جگنو نہ چاندنی کی قبا

میں رات کہتا ہوں جس کو وہ رات ہے ہی نہیں

مجھے تو زہر ہی پینا ہے ہر زمانے میں

مرے نصیب میں آب حیات ہے ہی نہیں

سر صلیب جو میں ہنس رہا ہوں کیوں نہ ہنسوں

خوشی کا لمحہ ہے یہ غم کی بات ہے ہی نہیں

ہر ایک سمت ترا نور ہے جدھر دیکھوں

مرے وجود میں میری تو ذات ہے ہی نہیں

ہزاروں لوگ ملے پیار کرنے والے ہمیں

مگر کسی میں تمہاری سی بات ہے ہی نہیں

وہ میرے پاس ہے پھر بھی بہت اکیلا ہوں

میں اس کے ساتھ ہوں وہ میرے ساتھ ہے ہی نہیں

میں کیوں اداس ہوں مت پوچھیے گا اس کا سبب

عجیب بات ہے کہ کوئی بات ہے ہی نہیں

ہمارے عشق میں شامل ہوس کہاں تھی میاں

ہمارے عشق کی یہ واردات ہے ہی نہیں

معراج نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin

Meraj Naqvi

kisi bhi lamha ghamon se najat hai hi nahin
hayat kahte hain jis ko hayat hai hi nahin

talash kijiye apnon mein kaun qatil hai
hamare qatl mein ghairon ka hath hai hi nahin

na chand tare na jugnu na chandni ki qaba
main raat kahta hun jis ko wo raat hai hi nahin

mujhe to zahr hi pina hai har zamane mein
mere nasib mein aab-e-hayat hai hi nahin

sar-e-salib jo main hans raha hun kyon na hansun
KHushi ka lamha hai ye gham ki baat hai hi nahin

har ek samt tera nur hai jidhar dekhun
mere wajud mein meri to zat hai hi nahin

hazaron log mile pyar karne wale hamein
magar kisi mein tumhaari si baat hai hi nahin

wo mere pas hai phir bhi bahut akela hun
main us ke sath hun wo mere sath hai hi nahin

main kyon udas hun mat puchiyega is ka sabab
ajib baat hai ki koi baat hai hi nahin

hamare ishq mein shamil hawas kahan thi miyan
hamare ishq ki ye wardat hai hi nahin

(706) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin written by Meraj Naqvi at UrduPoint. Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin is one of the masterpieces written by Meraj Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Meraj Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meraj Naqvi' above.

Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Bhi Lamha Ghamon Se Najat Hai Hi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.