Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai, Urdu Ghazal By Mirza Maseeta Beg Muntahi

Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mirza Maseeta Beg Muntahi. Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسن کی دل میں مرے جلوہ گری رہتی ہے

مرزا مسیتابیگ منتہی

حسن کی دل میں مرے جلوہ گری رہتی ہے

بند اس شیشۂ نازک میں پری رہتی ہے

دل وہاں کھلتا ہے جس جا کہ رہے جام شراب

دانہ واں اگتا ہے جس جا کہ تری رہتی ہے

طفلی و عہد جوانی کا نہ پوچھو احوال

بے خودی آگے تھی اب بے خبری رہتی ہے

باغ عالم میں نہیں دست کرم کو ہے زوال

شاخ یہ وہ ہے جو تا حشر ہری رہتی ہے

یاد میں جام‌ و صراحی کے ترے اے ساقی

دل بھرا رہتا ہے آنکھوں میں تری رہتی ہے

مے و معشوق سے دولت سے بہار گل میں

چکھیاں رہتی ہے ہیں یاروں کی چری رہتی ہے

ہر گھڑی رہتا ہے خال رخ محبوب کا دھیان

آج کل سامنے کوتہ نظری رہتی ہے

بھیڑ سی بھیڑ لگی رہتی ہے کوچے میں ترے

جنس الفت کی مگر وہاں پہ کھری رہتی ہے

نقد دل لیتے ہو ہر ایک کا بے بوس و کنار

آپ کے دھیان میں کیا مفت بری رہتی ہے

ہاتھ پکڑا ہے مرا دست جنوں نے جب سے

ہر گھڑی مد نظر جامہ دری رہتی ہے

بال کھولے نہیں پھرتا ہے اگر وہ سفاک

پھر کہو کیوں مجھے آشفتہ سری رہتی ہے

رند واں بستے ہیں جس جا ہو خم و خمخانہ

شیر واں رہتے ہیں جس جا کہ تری رہتی ہے

مرزا مسیتابیگ منتہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

husn ki dil mein mere jalwagari rahti hai
band is shisha-e-nazuk mein pari rahti hai

dil wahan khulta hai jis ja ki rahe jam-e-sharab
dana wan ugta hai jis ja ki tari rahti hai

tifli-o-ahd-e-jawani ka na puchho ahwal
be-KHudi aage thi ab be-KHabari rahti hai

bagh-e-alam mein nahin dast-e-karam ko hai zawal
shaKH ye wo hai jo ta-hashr hari rahti hai

yaad mein jam-o-surahi ke tere ai saqi
dil bhara rahta hai aankhon mein tari rahti hai

mai-o-mashuq se daulat se bahaar-e-gul mein
chakkhiyan rahti hai hain yaron ki chari rahti hai

har ghaDi rahta hai KHayal-e-ruKH-e-mahbub ka dhyan
aaj-kal samne kotah-nazari rahti hai

bhiD si bhiD lagi rahti hai kuche mein tere
jins ulfat ki magar wahan pe khari rahti hai

naqd-e-dil lete ho har ek ka be-bos-o-kanar
aap ke dhyan mein kya muft-bari rahti hai

hath pakDa hai mera dast-e-junun ne jab se
har ghaDi madd-e-nazar jama-dari rahti hai

baal khole nahin phirta hai agar wo saffak
phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai

rind wan baste hain jis ja ho KHum-o-KHum-KHana
sher wan rahte hain jis ja ki tari rahti hai

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai written by Mirza Maseeta Beg Muntahi at UrduPoint. Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai is one of the masterpieces written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. You can also find the complete poetry collection of Mirza Maseeta Beg Muntahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mirza Maseeta Beg Muntahi' above.

Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Husn Ki Dil Mein Mere Jalwagari Rahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.