Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Asar

Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Asar. Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر طرف رات کا پھیلا ہوا دریا دیکھوں

محمد علی اثر

ہر طرف رات کا پھیلا ہوا دریا دیکھوں

کس طرف جاؤں کہاں ٹھہروں کہ چہرا دیکھوں

کس جگہ ٹھہروں کہ ماضی کا سراپا دیکھوں

اپنے قدموں کے نشاں پر ترا رستہ دیکھوں

کب سے میں جاگ رہا ہوں یہ بتاؤں کیسے

آنکھ لگ جائے تو ممکن ہے سویرا دیکھوں

نا خدا ذات کی پتوار سنبھالے رکھنا

جب ہوا تیز چلے خود کو شکستہ دیکھوں

دن جو ڈھل جائے تو پھر درد کوئی جاگ اٹھے

شام ہو جائے تو پھر آپ کا رستہ دیکھوں

اب یہ عالم ہے کہ تنہائی ہی تنہائی ہے

یہ تمنا تھی کبھی خود کو بھی تنہا دیکھوں

دیدۂ خواب کو امید ملاقات نہ دے

کس طرح اپنے ہی خوابوں کو سسکتا دیکھوں

رنگ دھل جائیں غبار غم ہستی کے اثرؔ

اب کے منظر کوئی دیکھوں تو انوکھا دیکھوں

محمد علی اثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun

Mohammad Ali Asar

har taraf raat ka phaila hua dariya dekhun
kis taraf jaun kahan Thahrun ki chehra dekhun

kis jagah Thahrun ki mazi ka sarapa dekhun
apne qadmon ke nishan par tera rasta dekhun

kab se main jag raha hun ye bataun kaise
aankh lag jae to mumkin hai sawera dekhun

na-KHuda zat ki patwar sambhaale rakhna
jab hawa tez chale KHud ko shikasta dekhun

din jo Dhal jae to phir dard koi jag uThe
sham ho jae to phir aap ka rasta dekhun

ab ye aalam hai ki tanhai hi tanhai hai
ye tamanna thi kabhi KHud ko bhi tanha dekhun

dida-e-KHwab ko ummid-e-mulaqat na de
kis tarah apne hi KHwabon ko sisakta dekhun

rang dhul jaen ghubar-e-gham-e-hasti ke 'asar'
ab ke manzar koi dekhun to anokha dekhun

(582) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun written by Mohammad Ali Asar at UrduPoint. Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Asar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Asar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Asar' above.

Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Taraf Raat Ka Phaila Hua Dariya Dekhun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.