Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Amaan Nisar

Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Amaan Nisar. Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرے پروانہ کو اب مژدۂ مایوسی ہے

محمد امان نثار

میرے پروانہ کو اب مژدۂ مایوسی ہے

کیونکہ وہ پردہ نشیں شعلۂ فانوسی ہے

ساقیا دست نگاریں سے ترے مینا میں

ہم جو کرتے ہیں نظر جلوۂ طاؤسی ہے

جام لبریز چہکتا ہے ید بیضا سا

یار کے ہاتھ میں کیا معجزۂ موسی ہے

مرتی اس گل پہ ہے بکتا ہے جو کوڑی کوڑی

تجھ پہ مرتی نہیں بلبل بھی کچھ الو سی ہے

اے صنم نالہ و افغاں سے مرے شام و سحر

دل کے بت خانے میں اب نغمۂ ناقوسی ہے

دشت میں چل کہ ہر اک خار بیاباں کو نثارؔ

جوں حنا کب سے تمنائے قدم بوسی ہے

محمد امان نثار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai

Mohammad Amaan Nisar

mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai
kyunki wo parda-nashin shoala-e-fanusi hai

saqiya dast-e-nigarin se tere mina mein
hum jo karte hain nazar jalwa-e-tausi hai

jam-e-labrez chahakta hai yad-e-baiza sa
yar ke hath mein kya moajaza-e-musi hai

marti us gul pe hai bikta hai jo kauDi kauDi
tujh pe marti nahin bulbul bhi kuchh ullu si hai

ai sanam nala o afghan se mere sham o sahar
dil ke but-KHane mein ab naghma-e-naqusi hai

dasht mein chal ki har ek KHar-e-bayaban ko 'nisar'
jun hina kab se tamanna-e-qadam-bosi hai

(456) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai written by Mohammad Amaan Nisar at UrduPoint. Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Amaan Nisar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Amaan Nisar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Amaan Nisar' above.

Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.