Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije, Urdu Ghazal By Mohammad Tariq Ghazi

Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Tariq Ghazi. Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قلم کو مستعد حب جاہ لکھ لیجے

محمد طارق غازی

قلم کو مستعد حب جاہ لکھ لیجے

مرے گناہوں میں اور اک گناہ لکھ لیجے

مرا خیال تھا ہم کوہ روح سر کرتے

بدل کے ہجے اسے آپ کاہ لکھ لیجے

بلند عمارتوں میں بس گئی ہے ویرانی

دلوں میں چاہیں تو شہر تباہ لکھ لیجے

اس آنکھ میں کوئی منظر رہا نہ خواب رہا

اب اس کے بعد بھی اس کو نگاہ لکھ لیجے

کتاب حق میں زمیں ملکیت ہے اللہ کی

عرب میں ملکیت بادشاہ لکھ لیجے

دبائے بیٹھے ہیں ہونٹوں میں جس کو منبر پر

قلم کے لب پہ اسے سرد آہ لکھ لیجے

بڑا عذاب تو ہر قوم پر ضروری نہیں

اک آہ کو نفس انتباہ لکھ لیجے

یہ خشک پتیاں آنچل ہیں کہکشاں کا میاں

ہری زمیں پہ ہے اس کو گیاہ لکھ لیجے

کسی بھی صنف میں ذہن آپ کا چلے نہ چلے

قلم ہے ہاتھ میں بس خوا مخواہ لکھ لیجے

انہیں تو گفتگو کرنے میں بھی تکلف ہے

مگر مصر ہیں اسے رسم و راہ لکھ لیجے

دکھوں کی گنتی سے کالی ہے زندگی کی کتاب

تو جنتری میں انہیں سال و ماہ لکھ لیجے

محمد طارق غازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije

Mohammad Tariq Ghazi

qalam ko mustaid-e-hubb-e-jah likh lije
mere gunahon mein aur ek gunah likh lije

mera KHayal tha hum koh-e-ruh sar karte
badal ke hijje ise aap kah likh lije

buland imaraton mein bas gai hai virani
dilon mein chahen to shahr-e-tabah likh lije

is aankh mein koi manzar raha na KHwab raha
ab is ke ba'd bhi is ko nigah likh lije

kitab-e-haq mein zamin milkiyat hai allah ki
arab mein milkiyat-e-baadshah likh lije

dabae baiThe hain honTon mein jis ko mimbar par
qalam ke lab pe use sard aah likh lije

baDa azab to har qaum par zaruri nahin
ek aah ko nafas-e-intibah likh lije

ye KHushk pattiyan aanchal hain kahkashan ka miyan
hari zamin pe hai is ko gayah likh lije

kisi bhi sinf mein zehn aap ka chale na chale
qalam hai hath mein bas KHwa-maKHwah likh lije

unhen to guftugu karne mein bhi takalluf hai
magar musir hain use rasm-o-rah likh lije

dukhon ki ginti se kali hai zindagi ki kitab
to jantari mein unhen sal-o-mah likh lije

(524) ووٹ وصول ہوئے

You can read Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije written by Mohammad Tariq Ghazi at UrduPoint. Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije is one of the masterpieces written by Mohammad Tariq Ghazi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Tariq Ghazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Tariq Ghazi' above.

Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qalam Ko Mustaid-e-hubb-e-jah Likh Lije, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.