Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba, Urdu Ghazal By Mohammad Umar

Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Umar. Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پی جب کہ مئے عشرت کی جب یہ خطا توبہ

محمد عمر

پی جب کہ مئے عشرت کی جب یہ خطا توبہ

پی پی کے شراب غم سو بار کہا توبہ

کرنا تھا مجھے سجدہ میں بھول گیا توبہ

جا کر در جاناں پر کی میں نے خطا توبہ

دنیا میں کوئی کس سے کرتا ہے وفا توبہ

دل جس کو دیا ہم نے کی اس نے دغا توبہ

اک جام کے پیتے ہی میں جھوم گیا توبہ

ساقی یہ پیالے میں کیا تو نے دیا توبہ

اس درجہ ہوئی مضطر یوسف کی محبت میں

آخر کو زلیخا نے کی بت سے حیا توبہ

پیتے ہی شراب غم سب عیش ہوئے رخصت

میں لذت عشرت بھی اب بھول گیا توبہ

ہر وقت گناہوں سے گو تھی مجھے دلچسپی

تھا عجز پسند ان کو کرتا ہی رہا توبہ

اک عالم حیرت میں آغوش محبت میں

مے کس نے پلائی تھی میں بھول گیا توبہ

جو کام نہ کرنا تھا وہ کام کیا میں نے

جو کام تھا کرنے کا وہ ہو نہ سکا توبہ

آیا ہوں ازل سے میں وارفتہ حقیقت کا

دنیا کی محبت میں ہو جاؤں فنا توبہ

کچھ شوق شہادت میں کچھ جوش محبت میں

قاتل کے تبسم پر بسمل نے کہا توبہ

بس دیکھ لی اے دنیا یہ چارہ گری تیری

بیمار محبت کو دیتی ہے دوا توبہ

رندوں کے مقدر میں تھی بادہ کشی لیکن

واعظ نے جو مے پی لی ساقی نے کہا توبہ

ہر وقت تصور میں ہر خلوت و جلوت میں

سو بار انہیں دیکھا پھر بھول گیا توبہ

ہے آگ کی بارش سی سینے میں عمرؔ ہر دم

ہے عشق کی دنیا میں گرم آب و ہوا توبہ

محمد عمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba

Mohammad Umar

pi jab ki mai-e-ishrat ki jab ye KHata tauba
pi pi ke sharab-e-gham sau bar kaha tauba

karna tha mujhe sajda main bhul gaya tauba
ja kar dar-e-jaanan par ki main ne KHata tauba

duniya mein koi kis se karta hai wafa tauba
dil jis ko diya hum ne ki us ne dagha tauba

ek jam ke pite hi main jhum gaya tauba
saqi ye piyale mein kya tu ne diya tauba

is darja hui muztar yusuf ki mohabbat mein
aaKHir ko zuleKHa ne ki but se haya tauba

pite hi sharab-e-gham sab aish hue ruKHsat
main lazzat-e-ishrat bhi ab bhul gaya tauba

har-waqt gunahon se go thi mujhe dilchaspi
tha ijz pasand un ko karta hi raha tauba

ek aalam-e-hairat mein aaghosh-e-mohabbat mein
mai kis ne pilai thi main bhul gaya tauba

jo kaam na karna tha wo kaam kiya main ne
jo kaam tha karne ka wo ho na saka tauba

aaya hun azal se main warafta haqiqat ka
duniya ki mohabbat mein ho jaun fana tauba

kuchh shauq-e-shahadat mein kuchh josh-e-mohabbat mein
qatil ke tabassum par bismil ne kaha tauba

bas dekh li ai duniya ye chaaragari teri
bimar-e-mohabbat ko deti hai dawa tauba

rindon ke muqaddar mein thi baada-kashi lekin
waiz ne jo mai pi li saqi ne kaha tauba

har-waqt tasawwur mein har KHalwat-o-jalwat mein
sau bar unhen dekha phir bhul gaya tauba

hai aag ki barish si sine mein 'umar' har dam
hai ishq ki duniya mein garm aab-o-hawa tauba

(575) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba written by Mohammad Umar at UrduPoint. Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba is one of the masterpieces written by Mohammad Umar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Umar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Umar' above.

Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pi Jab Ki Mai-e-ishrat Ki Jab Ye KHata Tauba, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.