Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai, Urdu Ghazal By Moid Rahbar

Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Moid Rahbar. Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو تمام عمر بن کر مرا حوصلہ رہی ہے

معید رہبر

جو تمام عمر بن کر مرا حوصلہ رہی ہے

وہی آج میری غیرت مجھے آزما رہی ہے

مری فکر جانے مجھ کو کہاں لے کے جا رہی ہے

کہ قدم قدم پہ منزل سر راہ آ رہی ہے

نہیں چھوڑتی ہے مجھ کو کسی موڑ پر یہ دنیا

میں اسے رلا رہا ہوں یہ مجھے رلا رہی ہے

تو یہ جانتا ہے پھر بھی نہیں فکر آخرت کی

تری موت رفتہ رفتہ ترے پاس آ رہی ہے

جو اب آ گئے ہو تم تو مجھے چھوڑ کر نہ جانا

کہ تمہارے بن یہ ہستی بڑی بے مزہ رہی ہے

مری زندگی کے مالک میں یہ تجھ سے پوچھتا ہوں

مجھے کیوں جہاں میں بھیجا مری کیا خطا رہی ہے

یہ نہ ہو کہ وقت آخر رہے دل کی بات دل میں

مری جان اب تو آ جا مری جان جا رہی ہے

جو تمہیں ملا ہے منصب اسے دائمی نہ سمجھو

کسی ایک کی حکومت یہاں کب سدا رہی ہے

مجھے اب یہ لگ رہا ہے وہ خزاں تھی ٹھیک رہبرؔ

یہ بہار کیسے کیسے نئے گل کھلا رہی ہے

معید رہبر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai

Moid Rahbar

jo tamam umr ban kar mera hausla rahi hai
wahi aaj meri ghairat mujhe aazma rahi hai

meri fikr jaane mujh ko kahan le ke ja rahi hai
ki qadam qadam pe manzil sar-e-rah aa rahi hai

nahin chhoDti hai mujh ko kisi moD par ye duniya
main ise rula raha hun ye mujhe rula rahi hai

tu ye jaanta hai phir bhi nahin fikr aaKHirat ki
teri maut rafta rafta tere pas aa rahi hai

jo ab aa gae ho tum to mujhe chhoD kar na jaana
ki tumhaare bin ye hasti baDi be-maza rahi hai

meri zindagi ke malik main ye tujh se puchhta hun
mujhe kyon jahan mein bheja meri kya KHata rahi hai

ye na ho ki waqt-e-aKHir rahe dil ki baat dil mein
meri jaan ab to aa ja meri jaan ja rahi hai

jo tumhein mila hai mansab use daimi na samjho
kisi ek ki hukumat yahan kab sada rahi hai

mujhe ab ye lag raha hai wo KHizan thi Thik 'rahbar'
ye bahaar kaise kaise nae gul khila rahi hai

(628) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai written by Moid Rahbar at UrduPoint. Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai is one of the masterpieces written by Moid Rahbar. You can also find the complete poetry collection of Moid Rahbar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Moid Rahbar' above.

Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Tamam Umr Ban Kar Mera Hausla Rahi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.