Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil, Urdu Ghazal By Mufti Sadruddin Aazurda

Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mufti Sadruddin Aazurda. Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگر ہم نہ تھے غم اٹھانے کے قابل

مفتی صدرالدین آزردہ

اگر ہم نہ تھے غم اٹھانے کے قابل

تو کیوں ہوتے دنیا میں آنے کے قابل

کروں چاک سینہ تو سو بار لیکن

نہیں داغ دل یہ دکھانے کے قابل

ملیں تم سے کیونکر رہے ہی نہیں ہم

بلانے کے قابل نہ آنے کے قابل

چھٹے بھی قفس سے تو کس کام کے ہیں

نہیں جب چمن تک بھی جانے کے قابل

بجز اس کے تھے خاک پہلے بھی اے چرخ

نہ تھے خاک میں پھر ملانے کے قابل

کیا ترک دنیا میں جب تو یہ سمجھے

کہ دنیا نہیں دل لگانے کے قابل

وہ آئے دم نزع کیا کہہ سکیں

نہیں ہونٹ تک بھی ہلانے کے قابل

خدایا یہ رنج اور یہ ناصبوری

نہ تھے ہم تو اس آزمانے کے قابل

رہے ہم نہ کچھ مصطفیٰ خاں کے غم میں

نہ فکر سخن نے پڑھانے کے قابل

نہ چھوڑیں گے محبوب الٰہی کے در کو

نہیں گو ہم اس آستانے کے قابل

ہمیں قید کرنے سے کیا نفع صیاد

نہ تھے دام میں ہم تو لانے کے قابل

نہ بال منقش نہ پرہائے رنگیں

نہ آواز خوش کے سنانے کے قابل

ہوئے ہیں وہ ناقابلوں میں شمار اب

جنہیں مانتے تھے زمانے کے قابل

وہ آزردہؔ جو خوش بیاں تھے نہیں اب

اشارے سے بھی کچھ بتانے کے قابل

مفتی صدرالدین آزردہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil

Mufti Sadruddin Aazurda

agar hum na the gham uThane ke qabil
to kyun hote duniya mein aane ke qabil

karun chaak sina to sau bar lekin
nahin dagh dil ye dikhane ke qabil

milen tum se kyunkar rahe hi nahin hum
bulane ke qabil na aane ke qabil

chhuTe bhi qafas se to kis kaam ke hain
nahin jab chaman tak bhi jaane ke qabil

ba-juz us ke the KHak pahle bhi ai charKH
na the KHak mein phir milane ke qabil

kiya tark-e-duniya main jab to ye samjhe
ki duniya nahin dil lagane ke qabil

wo aae dam-e-naza kya kah saken
nahin honT tak bhi hilane ke qabil

KHudaya ye ranj aur ye na-suburi
na the hum to is aazmane ke qabil

rahe hum na kuchh mustafa-KHan ke gham mein
na fikr-e-suKHan ne paDhane ke qabil

na chhoDenge mahbub-e-ilahi ke dar ko
nahin go hum is aastane ke qabil

hamein qaid karne se kya nafa sayyaad
na the dam mein hum to lane ke qabil

na baal munaqqash na par-ha-e-rangin
na aawaz-e-KHush ke sunane ke qabil

hue hain wo na-qqabilon mein shumar ab
jinhen mante the zamane ke qabil

wo 'azurda' jo KHush-bayan the nahin ab
ishaare se bhi kuchh batane ke qabil

(462) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil written by Mufti Sadruddin Aazurda at UrduPoint. Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil is one of the masterpieces written by Mufti Sadruddin Aazurda. You can also find the complete poetry collection of Mufti Sadruddin Aazurda by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mufti Sadruddin Aazurda' above.

Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agar Hum Na The Gham UThane Ke Qabil, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.