Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua, Urdu Ghazal By Muhammad Fiaz Hasrat

Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muhammad Fiaz Hasrat. Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے کرم اس کا کہ انساں بھی عظیم الشاں ہوا

محمد فیاض حسرت

ہے کرم اس کا کہ انساں بھی عظیم الشاں ہوا

ورنہ تھی کیا بات جو نور خدا حیراں ہوا

کیا کرے تعریف اس کی وہ بھی بندۂ خدا

جس پہ یہ ذی روح کیا عالم سبھی نازاں ہوا

اس کے کن کہنے سے عالم اور پھر کیا کیا بنا

عقل انسانی سے بے شک راز یہ پنہاں ہوا

جب ہے ساری کائنات اس کی عبادت میں مگن

تو اسے کیا گر جو کوئی منکر یزداں ہوا

آزمائش تو خلیل اللہ کی پوری ہوئی

بعد اس کے کیسے کیسے آدمی قرباں ہوا

ہاں وہاں ہوگا میسر اختیار

میں نہ جانوں پھر مرا کیونکر نہ کم ارماں ہوا

ظلم انساں پر مسلسل ہے کیا کس نے سنو

مرتکب اس جرم کا ہائے کہ بس انساں ہوا

اے بیاباں ان درخشاں شہروں سے تھی کیا جلن

جو تری صورت کی مانند شہر یہ ویراں ہوا

اس طرح شاید سلامت تا قیامت تو رہے

ہو مبارک اب ترا دشمن ترا درباں ہوا

درجۂ عظمیٰ پہ فائز تو یہاں انصاف ہے

بے قصوروں و بے بسوں کا منتظر زنداں ہوا

یوں تو حسرت زندگی ساری مسلماں ہی رہا

وقت آخر وہ مگر میں صاحب ایماں ہوا

محمد فیاض حسرت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua

Muhammad Fiaz Hasrat

hai karam us ka ki insan bhi azimushshan hua
warna thi kya baat jo nur-e-KHuda hairan hua

kya kare tarif us ki wo bhi banda-e-KHuda
jis pe ye zi-ruh kya aalam sabhi nazan hua

us ke kun kahne se aalam aur phir kya kya bana
aql-e-insani se be-shak raaz ye pinhan hua

jab hai sari kaenat us ki ibaadat mein magan
to use kya gar jo koi munkir-e-yazdan hua

aazmaish to KHalilullah ki puri hui
baad is ke kaise kaise aadmi qurban hua

han wahan hoga mayassar iKHtiyar
main na jaanun phir mera kyunkar na kam arman hua

zulm insan par musalsal hai kiya kis ne suno
murtakib is jurm ka hae ki bas insan hua

ai bayaban in daraKHshan shahron se thi kya jalan
jo teri surat ki manind shahar ye viran hua

is tarah shayad salamat ta-qayamat tu rahe
ho mubarak ab tera dushman tera darban hua

darja-e-uzma pe faez to yahan insaf hai
be-qusuron wa be-bason ka muntazir zindan hua

yun to hasrat zindagi sari musalman hi raha
waqt-e-aKHir wo magar main sahab-e-iman hua

(559) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua written by Muhammad Fiaz Hasrat at UrduPoint. Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua is one of the masterpieces written by Muhammad Fiaz Hasrat. You can also find the complete poetry collection of Muhammad Fiaz Hasrat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muhammad Fiaz Hasrat' above.

Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Karam Us Ka Ki Insan Bhi Azimushshan Hua, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.