Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta, Urdu Ghazal By Mukhtaruddin

Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mukhtaruddin. Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وطن جس روز سے چھوٹا ہے وہ منظر نہیں ملتا

مختارالدین

وطن جس روز سے چھوٹا ہے وہ منظر نہیں ملتا

در و دیوار مل جاتے ہیں لیکن گھر نہیں ملتا

بہت مشکل ہے دو دنیاؤں میں اک شخص کا رہنا

جو مجھ میں سوچتا ہے وہ مجھے باہر نہیں ملتا

نہ سیکھے باپ کی انگلی پکڑ کر طفل گر چلنا

اسے منزل تو مل جائے مگر رہبر نہیں ملتا

منافع خور دو دن کے لیے بھی کر نہیں سکتے

صلے میں جس عمل کے نقد مال و زر نہیں ملتا

نکالے کام اپنا خوف کی وہ پرورش کرکے

مرے دشمن کو مجھ میں کوئی ایسا ڈر نہیں ملتا

جبینوں میں تڑپتے ہیں جو سجدے وہ کہاں جائیں

دیار غیر میں جب تیرا سنگ در نہیں ملتا

مرا سجدہ ہے ضرب بت شکن پندار کے سر پر

یہاں اس راز سے واقف کوئی ہم سر نہیں ملتا

ضرورت کے مطابق سب کو اے مختارؔ ملتا ہے

گلہ اس بات کا رہتا ہے جھولی بھر نہیں ملتا

مختارالدین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta

Mukhtaruddin

watan jis roz se chhuTa hai wo manzar nahin milta
dar-o-diwar mil jate hain lekin ghar nahin milta

bahut mushkil hai do duniyaon mein ek shaKHs ka rahna
jo mujh mein sochta hai wo mujhe bahar nahin milta

na sikhe bap ki ungli pakaD kar tifl gar chalna
use manzil to mil jae magar rahbar nahin milta

munafea-KHor do din ke liye bhi kar nahin sakte
sile mein jis amal ke naqd-e-mal-o-zar nahin milta

nikale kaam apna KHauf ki wo parwarish karke
mere dushman ko mujh mein koi aisa Dar nahin milta

jabinon mein taDapte hain jo sajde wo kahan jaen
dayar-e-ghair mein jab tera sang-e-dar nahin milta

mera sajda hai zarb-e-but-shikan pindar ke sar par
yahan is raaz se waqif koi ham-sar nahin milta

zarurat ke mutabiq sab ko ai 'muKHtar' milta hai
gila is baat ka rahta hai jholi bhar nahin milta

(410) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta written by Mukhtaruddin at UrduPoint. Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta is one of the masterpieces written by Mukhtaruddin. You can also find the complete poetry collection of Mukhtaruddin by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mukhtaruddin' above.

Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Watan Jis Roz Se ChhuTa Hai Wo Manzar Nahin Milta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.