Raushni Ke Minar, Urdu Nazam By Muneebur Rahman

Raushni Ke Minar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Muneebur Rahman. Raushni Ke Minar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Raushni Ke Minar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روشنی کے مینار

منیب الرحمن

دو سمندر جہاں آپس میں ملا کرتے ہیں

میں نے کتنے سحر و شام گزارے ہیں وہاں

میں نے دیکھی ہے نکلتے ہوئے سورج کی کرن

اور کل ہوتے ہوئے دن کی شفق دیکھی ہے

میں نے موجوں کے تلاطم میں گہر ڈھونڈے ہیں

اور پائے ہیں خزف ریزے بھی

جال پانی سے جب اک بار نکالا میں نے

اک گھڑا ریت بھرا ہاتھ آیا

ثبت تھی مہر سلیماں جس پر

اور کھولا تو دھوئیں کا بادل

پیٹ سے اس کے نمودار ہوا

آدمی کے لیے یہ بہتر ہے

کہ مقفل ہی رہیں کچھ چیزیں

یہ فضائیں یہ ستارے یہ فلک

وقت گرداں کی مسلسل ٹک ٹک

جانور کیڑے مکوڑے حشرات

مچھلیاں اور طیور

اور انسان جو پہلے دن سے

آخری روز تلک

موت کی سمت چلا کرتا ہے

جستجو پر مجھے اکساتے ہیں

آہ لیکن یہ تلاش

کر گئی اور بھی حیراں مجھ کو

کیوں وہ کشتی ہوئی سوراخ زدہ

جس میں ہم رات کو پار اترے تھے

راہ چلتے ہوئے مڈبھیڑ ہوئی تھی جس سے

کس خطا پر وہ جواں قتل ہوا

کتنے بے بہرہ تھے تہذیب سے اس شہر کے لوگ

جن کو آتے نہ تھے مہمان نوازی کے طریق

پھر بھلا کس لیے ان کی خاطر

ہم نے گرتی ہوئی دیوار کو تعمیر کیا

راز پر راز چھپا رکھے ہیں اک بوڑھے نے

اور ہم ہیں کہ پھرا کرتے ہیں

ہر لرزتے ہوئے سائے کا تعاقب کرتے

شمع کی لو جسے ہر آن بدل دیتی ہے

دو سمندر کا جہاں سنگم ہے

میں بدستور کھڑا رہتا ہوں

دیکھتا ہوں کبھی اڑتے ہوئے ذرات کا رقص

کبھی موجوں کو صدا دیتا ہوں

اور اکثر شب تنہائی میں بیٹھا بیٹھا

ان جزیروں کو تکا کرتا ہوں

جن کے جلتے ہوئے، بجھتے ہوئے مینارۂ نور

میری منزل کا پتہ دیتے ہیں

منیب الرحمن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raushni Ke Minar

Muneebur Rahman

do samundar jahan aapas mein mila karte hain
main ne kitne sahar o sham guzare hain wahan
main ne dekhi hai nikalte hue suraj ki kiran
aur kal hote hue din ki shafaq dekhi hai
main ne maujon ke talatum mein guhar DhunDe hain
aur pae hain KHazaf reze bhi
jal pani se jab ek bar nikala main ne
ek ghaDa ret bhara hath aaya
sabt thi mohr-e-sulaiman jis par
aur khola to dhuen ka baadal
peT se us ke numudar hua
aadmi ke liye ye behtar hai
ki muqaffal hi rahen kuchh chizen
ye fazaen ye sitare ye falak
waqt-e-gardan ki musalsal Tik Tik
jaanwar kiDe makoDe hashraat
machhliyan aur tuyur
aur insan jo pahle din se
aaKHiri roz talak
maut ki samt chala karta hai
justuju par mujhe uksate hain
aah lekin ye talash
kar gai aur bhi hairan mujh ko
kyun wo kashti hui suraKH-zada
jis mein hum raat ko par utre the
rah chalte hue muDbheD hui thi jis se
kis KHata par wo jawan qatl hua
kitne be-bahra the tahzib se is shahr ke log
jin ko aate na the mehman-nawazi ke tariq
phir bhala kis liye un ki KHatir
hum ne girti hui diwar ko tamir kiya
raaz par raaz chhupa rakkhe hain ek buDhe ne
aur hum hain ki phira karte hain
har larazte hue sae ka taaqub karte
shama ki lau jise har aan badal deti hai

do samundar ka jahan sangam hai
main ba-dastur khaDa rahta hun
dekhta hun kabhi uDte hue zarraat ka raqs
kabhi maujon ko sada deta hun
aur aksar shab-e-tanhai mein baiTha baiTha
un jaziron ko taka karta hun
jin ke jalte hue, bujhte hue minara-e-nur
meri manzil ka pata dete hain

(617) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raushni Ke Minar written by Muneebur Rahman at UrduPoint. Raushni Ke Minar is one of the masterpieces written by Muneebur Rahman. You can also find the complete poetry collection of Muneebur Rahman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneebur Rahman' above.

Raushni Ke Minar is a widely read Urdu Nazam. If you like Raushni Ke Minar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.