AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai, Urdu Ghazal By Muneer Jafri

AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Jafri. AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آخری اشک ہے اور پہلی عزا داری ہے

منیر جعفری

آخری اشک ہے اور پہلی عزا داری ہے

مجلس ہجر بپا کرنے کی تیاری ہے

جس کی جو مرضی ہو وہ رکھ کے چلا جاتا ہے

میری دنیا ہے کہ احباب کی الماری ہے

نور کے ہاتھ پہ بیعت ہے مری آنکھوں کی

اب اندھیروں کی طرف دیکھنا غداری ہے

ڈھونڈنے نکلا ہوں میں اس کے پسندیدہ پھول

میری اس شہر میں یہ پہلی خریداری ہے

راکھ سے لے کے اٹھوں گا میں خزانے کا سراغ

میرا اس آگ میں جل بجھنا اداکاری ہے

جھوٹا کھانے سے بھی لگ جاتی ہو عادت جیسے

یہ محبت بھی ترے در کی نمک خواری ہے

نیم کے پیڑ سے کرنا ہے جنہیں شہد وصول

ان زمانوں کی طرف میرا سفر جاری ہے

جانے کس شخص کے پاؤں کو چھوا ہے اس نے

تیز آندھی میں بھی صحرا پہ سکوں طاری ہے

نرم گالوں پہ سرکتے ہوئے سورج کا غروب

یہ نظارا ہے کہ رنگوں کی دکان داری ہے

بانٹ دیتا ہوں محبت کو فقیروں میں منیرؔ

یہ بھی پرکھوں کی وراثت سے وفاداری ہے

منیر جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai

Muneer Jafri

aaKHiri ashk hai aur pahli aza-dari hai
majlis-e-hijr bapa karne ki tayyari hai

jis ki jo marzi ho wo rakh ke chala jata hai
meri duniya hai ki ahbab ki almari hai

nur ke hath pe bai'at hai meri aankhon ki
ab andheron ki taraf dekhna ghaddari hai

DhunDne nikla hun main us ke pasandida phul
meri is shahr mein ye pahli KHaridari hai

rakh se le ke uThunga main KHazane ka suragh
mera is aag mein jal-bujhna adakari hai

jhuTa khane se bhi lag jati ho aadat jaise
ye mohabbat bhi tere dar ki namak-KHwari hai

nim ke peD se karna hai jinhen shahd wasul
un zamanon ki taraf mera safar jari hai

jaane kis shaKHs ke panw ko chhua hai is ne
tez aandhi mein bhi sahra pe sukun tari hai

narm galon pe sarakte hue suraj ka ghurub
ye nazara hai ki rangon ki dukan-dari hai

banT deta hun mohabbat ko faqiron mein 'munir'
ye bhi purkhon ki wirasat se wafadari hai

(687) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai written by Muneer Jafri at UrduPoint. AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai is one of the masterpieces written by Muneer Jafri. You can also find the complete poetry collection of Muneer Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Jafri' above.

AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like AaKHiri Ashk Hai Aur Pahli Aza-dari Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.