Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya, Urdu Ghazal By Muneer Jafri

Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Jafri. Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ زمیں جو ثقافت میں زرخیز تھی اس کو کیا ہو گیا

منیر جعفری

یہ زمیں جو ثقافت میں زرخیز تھی اس کو کیا ہو گیا

اس کی شرح نمو تو بہت تیز تھی اس کو کیا ہو گیا

اب صراحی کے دامن میں کچھ بھی نہیں خامشی کے سوا

میری تاریخ لوگوں سے لبریز تھی اس کو کیا ہو گیا

تیری دنیا کو نزدیک سے دیکھ کر خود پہ افسوس ہے

اس کی تصویر کتنی دل آویز تھی اس کو کیا ہو گیا

تم نے بارود کی تھیلیوں میں جنا تھا نئی نسل کو

آج کہتے ہو یہ امن انگیز تھی اس کو کیا ہو گیا

اس کی خاک شفا سے جلا پا گئے کتنے رومی یہاں

یہ زمیں اپنی شوکت میں تبریز تھی اس کو کیا ہو گیا

تجھ بدن کے مناظر کی نظارگی ہے خزاں یافتہ

یہ سیاحت بڑی لطف انگیز تھی اس کو کیا ہو گیا

پکے رنگوں میں رنگی ہوئی عورتیں کتنی نایاب ہیں

یہ محبت جو مشاق رنگریز تھی اس کو کیا ہو گیا

زندگی اپنی ترسیل کا مرحلہ طے نہیں کر سکی

ورنہ رفتار میں موت سے تیز تھی اس کو کیا ہو گیا

پیڑ کی چھال بھی کاٹنے کا جتن کر نہیں پائے گی

میری تلوار فطرت میں خوں ریز تھی اس کو کیا ہو گیا

شخصیت کے تناسب میں بے چارگی بڑھ رہی ہے منیرؔ

یہ کہانی بہت ہی جنوں خیز تھی اس کو کیا ہو گیا

منیر جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya

Muneer Jafri

ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi is ko kya ho gaya
is ki sharh-e-numu to bahut tez thi is ko kya ho gaya

ab surahi ke daman mein kuchh bhi nahin KHamushi ke siwa
meri tariKH logon se labrez thi is ko kya ho gaya

teri duniya ko nazdik se dekh kar KHud pe afsos hai
is ki taswir kitni dil-awez thi is ko kya ho gaya

tum ne barud ki thailiyon mein jana tha nai nasl ko
aaj kahte ho ye amn-angez thi is ko kya ho gaya

us ki KHak-e-shifa se jila pa gae kitne rumi yahan
ye zamin apni shaukat mein tabrez thi is ko kya ho gaya

tujh badan ke manazir ki nazzargi hai KHizan-yafta
ye siyahat baDi lutf-angez thi is ko kya ho gaya

pakke rangon mein rangi hui aurten kitni nayab hain
ye mohabbat jo mashshaq rangrez thi is ko kya ho gaya

zindagi apni tarsil ka marhala tai nahin kar saki
warna raftar mein maut se tez thi is ko kya ho gaya

peD ki chhaal bhi kaTne ka jatan kar nahin paegi
meri talwar fitrat mein KHun-rez thi is ko kya ho gaya

shaKHsiyat ke tanasub mein bechaargi baDh rahi hai 'munir'
ye kahani bahut hi junun-KHez thi is ko kya ho gaya

(1042) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya written by Muneer Jafri at UrduPoint. Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya is one of the masterpieces written by Muneer Jafri. You can also find the complete poetry collection of Muneer Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Jafri' above.

Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Zamin Jo Saqafat Mein ZarKHez Thi Isko Kya Ho Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.