Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire comes under the Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بتوں کے گھر کی طرف کعبہ کے سفر سے پھرے

منیرؔ شکوہ آبادی

بتوں کے گھر کی طرف کعبہ کے سفر سے پھرے

ہزار شکر کہ جیتے خدا کے گھر سے پھرے

مریض ہجر کا کوئی علاج کر دیکھے

اثر دوا سے دوا حکم چارہ گر سے پھرے

مہینے بھر کا تو رستہ ہے پر دعا یہ ہے

کہ پیشتر وہ قمر دورۂ قمر سے پھرے

نگاہ لطف سے دیکھو شباب آ جائے

شب گزشتہ ابھی گردش نظر سے پھرے

وہ رشک مہر جو ساقی ہو عمر باقی ہو

زیادہ ساغر مے چرخ فتنہ گر سے پھرے

نگاہ پھیرنے میں لطف کیا ہے رہنے دو

یہ تیر کس لئے الٹا مرے جگر سے پھرے

کہیں گے بعد فنا ہم سے دوستان عدم

بھرے پرے کہ تہی دست اس سفر سے پھرے

نہ مانگیں بوسۂ رخسار چھاتیاں نہ چھوئیں

طبیعت اپنی جو اے بت گل و ثمر سے پھرے

فلک نے کوچۂ مقصد کی بند کی راہیں

بھلا بتاؤ کہ قسمت مری کدھر سے پھرے

دکھائے موج زنی بحر اشک اگر اپنا

ہر آسیائے فلک آب چشم تر سے پھرے

منیرؔ کو ہے وہ دوران سر معاذ اللہ

کہ سننے والوں کا سر ذکر درد سر سے پھرے

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire

Muneer Shikohabadi

buton ke ghar ki taraf kabe ke safar se phire
hazar shukr ki jite KHuda ke ghar se phire

mariz-e-hijr ka koi ilaj kar dekhe
asar dawa se dawa hukm-e-chaara-gar se phire

mahine bhar ka to rasta hai par dua ye hai
ki peshtar wo qamar daura-e-qamar se phire

nigah-e-lutf se dekho shabab aa jae
shab-e-guzishta abhi gardish-e-nazar se phire

wo rashk-e-mahr jo saqi ho umr baqi ho
ziyaada saghar-e-mai charKH-e-fitna-gar se phire

nigah pherne mein lutf kya hai rahne do
ye tir kis liye ulTa mere jigar se phire

kahenge baad-e-fana hum se dostan-e-adam
bhare-pure ki tahi-dast is safar se phire

na mangen bosa-e-ruKHsar chhatiyan na chhuen
tabiat apni jo ai but gul-o-samar se phire

falak ne kucha-e-maqsad ki band ki rahen
bhala batao ki qismat meri kidhar se phire

dikhae mauj-zani bahr-e-ashk agar apna
har aasiya-e-falak-ab chashm-e-tar se phire

'munir' ko hai wo dauran-e-sar maaz-allah
ki sunne walon ka sar zikr-e-dard-e-sar se phire

(380) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire is a widely read Urdu Ghazal. If you like Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sufi Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.