Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda, Urdu Ghazal By Munshi Thakur Parsad Talib

Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Thakur Parsad Talib. Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں نہ ہوں گا کبھی تجھ سے بت عیار جدا

منشی ٹھاکر پرساد طالب

میں نہ ہوں گا کبھی تجھ سے بت عیار جدا

آگ پتھر سے نہیں ہونے کی زنہار جدا

حشر تک ہوں گے نہ کفار سے دین دار جدا

کہیں تسبیح سے ہوتی نہیں زنار جدا

فرق ظاہر ہے جو کچھ طائر و انسان میں ہے

ہو نہ پھر کبک سے کیوں یار کی رفتار جدا

کس لئے شیخ کو ہے طرح پر پیچ پہ ناز

سر سے مینا کے بھی ہوتی نہیں دستار جدا

نیند میں دولت دیدار ہوئی مجھ کو نصیب

خواب کے ہوتے ہیں کیا دیدۂ بے دار جدا

کوئی نسبت نہیں یوسف کو مرے دلبر سے

اس کا بازار جدا اس کے خریدار جدا

فیصلہ کیا ہو دو عملے میں پھنسے ہیں آ کر

ہے خفا موت جدا یار ہے بیزار جدا

واسطہ بت سے نہ ہم کو نہ خدا سے مطلب

مذہب رند جدا ملت دیں دار جدا

قتل کو میرے پری رو مژہ و ابرو کی

برچھی رکھتے ہیں الگ ہوتی ہے تلوار جدا

تفرقہ ہو جسد و روح میں پرواہ نہیں

ہو نہ عاشق سے یہ معشوق طرحدار جدا

ان حسینوں پہ مرے خلق نہ کیوں کر طالبؔ

سحر گفتار جدا اور طرحدار جدا

منشی ٹھاکر پرساد طالب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda

Munshi Thakur Parsad Talib

main na hunga kabhi tujh se but-e-ayyar juda
aag patthar se nahin hone ki zinhaar juda

hashr tak honge na kuffar se din-dar juda
kahin tasbih se hoti nahin zunnar juda

farq zahir hai jo kuchh tair-o-insan mein hai
ho na phir kabk se kyon yar ki raftar juda

kis liye shaiKH ko hai tarah-e-pur-pech pe naz
sar se mina ke bhi hoti nahin dastar juda

nind mein daulat-e-didar hui mujh ko nasib
KHwab ke hote hain kya dida-e-bedar juda

koi nisbat nahin yusuf ko mere dilbar se
us ka bazar juda us ke KHaridar juda

faisla kya ho do amle mein phanse hain aa kar
hai KHafa maut juda yar hai bezar juda

wasta but se na hum ko na KHuda se matlab
mazhab-e-rind juda millat-e-din-dar juda

qatl ko mere pari-ru mizha-o-abru ki
barchhi rakhte hain alag hoti hai talwar juda

tafraqa ho jasad-o-ruh mein parwah nahin
ho na aashiq se ye mashuq-e-tarahdar juda

in hasinon pe mare KHalq na kyunkar 'talib'
sehr-e-guftar juda aur tarahdar juda

(370) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda written by Munshi Thakur Parsad Talib at UrduPoint. Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda is one of the masterpieces written by Munshi Thakur Parsad Talib. You can also find the complete poetry collection of Munshi Thakur Parsad Talib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Thakur Parsad Talib' above.

Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Na Hunga Kabhi Tujhse But-e-ayyar Juda, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.