Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai, Urdu Ghazal By Muntazir Qaimi

Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muntazir Qaimi. Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشرت نے تمناؤں کو بازار کیا ہے

منتظر قائمی

عشرت نے تمناؤں کو بازار کیا ہے

مجبوری نے ہر شے کو خریدار کیا ہے

ڈر تھا کہ کہیں میں بھی نہ بن جاؤں فرشتہ

یہ سوچ کے اپنے کو گنہ گار کیا ہے

ملنے کو ضرور آئیں گے اک روز در و بام

مجھ کو اسی امید نے دیوار کیا ہے

خوش رنگ پرندے تو نہیں کرتے بسیرا

اک پیڑ نے شاخوں کو خبردار کیا ہے

لفظوں میں اتر آئی ہے سازش کی سیاہی

اس عہد نے افواہوں کو اخبار کیا ہے

تعمیر میں آتی ہے نظر خون کی لالی

لوگوں نے کسے خواب کا معمار کیا ہے

یہ بات اترتی نہیں سورج کے گلے سے

تاریکی نے جگنو سے بہت پیار کیا ہے

چنگاریاں دامن میں بھرے ایک دئے نے

بے سمت ہواؤں کو گرفتار کیا ہے

پھر شام کی شاخوں پہ ہیں یادوں کے بسیرے

پھر اس نے مری رات کو گلزار کیا ہے

پھر ہے دل ناداں کو کسی غم کی ضرورت

خوشیوں نے تو جیسے مجھے بیمار کیا ہے

منتظر قائمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai

Muntazir Qaimi

ishrat ne tamannaon ko bazar kiya hai
majburi ne har shai ko KHaridar kiya hai

Dar tha ki kahin main bhi na ban jaun farishta
ye soch ke apne ko gunahgar kiya hai

milne ko zarur aaenge ek roz dar-o-baam
mujh ko isi ummid ne diwar kiya hai

KHush-rang parinde to nahin karte basera
ek peD ne shaKHon ko KHabar-dar kiya hai

lafzon mein utar aai hai sazish ki siyahi
is ahd ne afwahon ko aKHbar kiya hai

tamir mein aati hai nazar KHun ki lali
logon ne kise KHwab ka meamar kiya hai

ye baat utarti nahin suraj ke gale se
tariki ne jugnu se bahut pyar kiya hai

chingariyan daman mein bhare ek diye ne
be-samt hawaon ko giraftar kiya hai

phir sham ki shaKHon pe hain yaadon ke basere
phir us ne meri raat ko gulzar kiya hai

phir hai dil-e-nadan ko kisi gham ki zarurat
KHushiyon ne to jaise mujhe bimar kiya hai

(616) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai written by Muntazir Qaimi at UrduPoint. Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai is one of the masterpieces written by Muntazir Qaimi. You can also find the complete poetry collection of Muntazir Qaimi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muntazir Qaimi' above.

Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishrat Ne Tamannaon Ko Bazar Kiya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.