Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka, Urdu Ghazal By Murli Dhar Shad

Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Murli Dhar Shad. Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بس یہی تو مدعا ہے آپ کے ارشاد کا

مرلی دھر شاد

بس یہی تو مدعا ہے آپ کے ارشاد کا

شادؔ کس نے نام رکھا عاشق ناشاد کا

لیجئے حاضر ہے نذرانہ دل ناشاد کا

ٹالنا آساں نہ تھا کچھ آپ کے ارشاد کا

برق سمجھا ہے جسے سارا زمانہ دیکھیے

آسماں پر چڑھ گیا لچھا مری فریاد کا

حشر سے عشق نہاں کی اور شہرت ہو گئی

ایک عالم قصہ خواں نکلا مری روداد کا

بے تعلق ہو کے رہنا باغ عالم میں محال

پا بہ گل ہونا تو دیکھو سرو سے آزاد کا

باغباں صیاد گلچیں سب کے سب دیکھا کئے

آشیاں اجڑا کیا اک خانماں برباد کا

ترک الفت پر جو میں زندہ رہا گھبرا گئے

ڈھونڈتے ہیں اب نیا پہلو کوئی بیداد کا

ذکر دشمن پر مجھے جھٹلانے والے پھر تو کہہ

تم ہو مضطر کیا بھروسہ ہے تمہاری یاد کا

گرمئ داغ جگر سے موم ہو کر بہہ گیا

تم اسی خنجر کو سمجھے تھے کہ ہے فولاد کا

آنکھ سے کچھ ہو اشارہ کچھ تبسم لب پہ ہو

شادؔ کرنا کچھ نہیں مشکل دل ناشاد کا

تیری سب سنتے ہیں میری کوئی سنتا ہی نہیں

کس سے روؤں جا کے اب دکھڑا تری بیداد کا

شادؔ یکتائے جہاں ہے آپ کے سر کی قسم

دیکھ لینا جانشیں ہوگا یہی استاد کا

مرلی دھر شاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka

Murli Dhar Shad

bas yahi to muddaa hai aap ke irshad ka
'shad' kis ne nam rakkha aashiq-e-nashad ka

lijiye hazir hai nazrana dil-e-nashad ka
Talna aasan na tha kuchh aap ke irshad ka

barq samjha hai jise sara zamana dekhiye
aasman par chaDh gaya lachha meri fariyaad ka

hashr se ishq-e-nihan ki aur shohrat ho gai
ek aalam qissa-KHwan nikla meri rudad ka

be-talluq ho ke rahna bagh-e-alam mein muhaal
pa-ba-gul hona to dekho sarw se aazad ka

baghban sayyaad gulchin sab ke sab dekha kiye
aashiyan ujDa kiya ek KHanaman-barbaad ka

tark-e-ulfat par jo main zinda raha ghabra gae
DhunDte hain ab naya pahlu koi bedad ka

zikr-e-dushman par mujhe jhuTlane wale phir tu kah
tum ho muztar kya bharosa hai tumhaari yaad ka

garmi-e-dagh-e-jigar se mom ho kar bah gaya
tum usi KHanjar ko samjhe the ki hai faulad ka

aankh se kuchh ho ishaara kuchh tabassum lab pe ho
'shad' karna kuchh nahin mushkil dil-e-nashad ka

teri sab sunte hain meri koi sunta hi nahin
kis se roun ja ke ab dukhDa teri bedad ka

'shad' yakta-e-jahan hai aap ke sar ki qasam
dekh lena ja-nashin hoga yahi ustad ka

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka written by Murli Dhar Shad at UrduPoint. Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka is one of the masterpieces written by Murli Dhar Shad. You can also find the complete poetry collection of Murli Dhar Shad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Murli Dhar Shad' above.

Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bas Yahi To Muddaa Hai Aap Ke Irshad Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.