Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin, Urdu Ghazal By Mushtaq Singh

Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mushtaq Singh. Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا کروں کچھ بھی سمجھ آتا نہیں

مشتاق سنگھ

کیا کروں کچھ بھی سمجھ آتا نہیں

وہ خیالوں سے مرے جاتا نہیں

کیا خبر چہرہ کہاں وہ کھو گیا

خواب میں بھی جو نظر آتا نہیں

رات جگنو چاند تاروں کا ہجوم

دل پریشاں چین کیوں پاتا نہیں

کوئی سورج اپنے دامن میں لیے

خواب فردا کا نشاں آتا نہیں

برف ذہنوں میں جمی ہے اس قدر

حادثوں کا ڈر بھی گرماتا نہیں

اس قدر دھندلا گیا ہے آئنہ

کوئی بھی چہرہ نظر آتا نہیں

کس لیے ان کے تصور کا طلسم

اب دل مشتاقؔ بہلاتا نہیں

مشتاق سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin

Mushtaq Singh

kya karun kuchh bhi samajh aata nahin
wo KHayalon se mere jata nahin

kya KHabar chehra kahan wo kho gaya
KHwab mein bhi jo nazar aata nahin

raat jugnu chand-taron ka hujum
dil pareshan chain kyun pata nahin

koi suraj apne daman mein liye
KHwab-e-farda ka nishan aata nahin

barf zehnon mein jami hai is qadar
hadson ka Dar bhi garmata nahin

is qadar dhundla gaya hai aaina
koi bhi chehra nazar aata nahin

kis liye un ke tasawwur ka tilism
ab dil-e-'mushtaq' bahlata nahin

(500) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin written by Mushtaq Singh at UrduPoint. Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin is one of the masterpieces written by Mushtaq Singh. You can also find the complete poetry collection of Mushtaq Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mushtaq Singh' above.

Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Karun Kuchh Bhi Samajh Aata Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.