Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب اس سے بڑھ کے کیا ناکامیاں ہوں گی مقدر میں

مضطر خیرآبادی

اب اس سے بڑھ کے کیا ناکامیاں ہوں گی مقدر میں

میں جب پہنچا تو کوئی بھی نہ تھا میدان محشر میں

الٰہی نہر‌ رحمت بہہ رہی ہے اس میں ڈلوا دے

گنہ گاروں کے عصیاں باندھ کر دامان محشر میں

کھلے گیسو تو دیدار‌ خدا بھی ہو گیا مشکل

قیامت کا اندھیرا چھا گیا میدان محشر میں

شریک کثرت مخلوق تو کیوں ہو گیا یا رب

تری وحدت کا پردہ کیا ہوا میدان محشر میں

قیامت تو ہماری تھی ہم آپس میں نبٹ لیتے

کوئی پوچھے خدا کیوں آ گیا میدان محشر میں

کسی کا آبلہ پا قبر سے یہ پوچھتا اٹھا

کہیں تھوڑے بہت کانٹے بھی ہیں میدان محشر میں

الٰہی درد کے قصے بہت ہیں وقت تھوڑا ہے

شب فرقت کا دامن باندھ دے دامان محشر میں

نہ اٹھتے کشتگان ناز ہرگز اپنی تربت سے

تری آواز شامل ہو گئی تھی صور محشر میں

تہہ مدفن مجھے رہتے زمانہ ہو گیا مضطرؔ

کچھ ایسی نیند سویا ہوں کہ اب جاگوں گا محشر میں

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein

Muztar Khairabadi

ab is se baDh ke kya nakaamiyan hongi muqaddar mein
main jab pahuncha to koi bhi na tha maidan-e-mahshar mein

ilahi nahr-e-rahmat bah rahi hai is mein Dalwa de
gunahgaron ke isyan bandh kar daman-e-mahshar mein

khule gesu to didar-e-KHuda bhi ho gaya mushkil
qayamat ka andhera chha gaya maidan-e-mahshar mein

sharik-e-kasrat-e-maKHluq tu kyun ho gaya yarab
teri wahdat ka parda kya hua maidan-e-mahshar mein

qayamat to hamari thi hum aapas mein nibat lete
koi puchhe KHuda kyun aa gaya maidan-e-mahshar mein

kisi ka aabla-pa qabr se ye puchhta uTTha
kahin thoDe bahut kanTe bhi hain maidan-e-mahshar mein

ilahi dard ke qisse bahut hain waqt thoDa hai
shab-e-furqat ka daman bandh de daman-e-mahshar mein

na uThte kushtagan-e-naz hargiz apni turbat se
teri aawaz shamil ho gai thi sur-e-mahshar mein

tah-e-madfan mujhe rahte zamana ho gaya 'muztar'
kuchh aisi nind soya hun ki ab jagunga mahshar mein

(514) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Is Se BaDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.